Wo Kaisa Sama Hoga Wo Kaisi Gharri Hogi (Naat Lyrics)

Wo Kaisa sama hoga wo kaisi gharri hogi
Jab pehli nazar unkay rozay pay parri hogi

Yay kucha e jana he aahista qadam rakhna
Har ja pay malaaik ki baaraat kharri hogi

Kya saamnay ja kay ham haal apna suna-ayn gay
Sarkar ka dar hoga ashkon ki jharri hogi

Kuchh haathh na aa-ay ga aqa say juda reh kar
Sarkar ki nisbat say toqeer barri hogi

Wo sheesha-ay dil gham say mela na kabhi hoga
Tasweer madinay ki jiss dil mayn jarri hogi

Ho ja-ay jo wabasta sarkar kay qadmon say
Har cheez zamaanay ki qadmon mayn parri hogi

Chaara na koii karna ik naat suna day-na
Nacheez zahoori ki jab saans arri hogi


Related Content

  1. Mujhe Dar Pay Phir Bulana  Naat Lyrics
  2. Aaj Muhammad Aye Moray Ghar Naat
  3. Aawaz panch waqt lagati hai momino
  4. Balaghal Ula Bi Kamalihi
  5. Ay Mustafa ke fool dilojaan ya hussain
  6. Meray Aqa Meray Lajpaal Madinay Waley (Naat Lyrics)
  7. Gali Hondi Madine Di Lyrics
  8. Mere Aaka Mere Aaka Naat Lyrics
  9. Agayaa Wo Noore Waala Jiska Saara Noor He (Naat Lyrics)
  10. Zikre Aaqa Se Seena Saja Hai Naat Lyrics
  11. Delhi Rajasthan Tumhara Ya Khwaja  Naat Lyrics
  12. Ae Ishq e Nabi Meray Dil Mein Bhi Sama Jana
  13. Dil Pareshan Hai Kya Hona Hai  Naat Lyrics
  14. Muhmmad Ruhi Fidaka Naat Lyrics
  15. Mustafa E Zaat E Yakta Aap Hain  Naat Lyrics
  16. Ravi De Kande Mere Data Dera Laya  Naat Lyrics
  17. Madina Sadi Jaan Hai Lyrics
  18. Aa Jaye Bulawa Mujhe Aqa Tere Dar Se
  19. Hamaray Maula Hamaray Aaqa Imam-e-Azam Abu Hanifa
  20. Maah E Rabi Ul Awwal Aaya  Naat Lyrics

Leave a comment