Un Ki Nazar Mein

Un (pbuh) ki nazar main jab se main hoon ranj nahi aalaam nahi
Meri nazar main is se barh kar or koi kaam inaam nahi

Ronay wali aankhein maango rona sab ka kaam nahi
Zikar-e-muhabbat aam hay lekin soz-e-muhabbat aam nahi

Tu shayer hay naat-e-Nabi (pbuh) ka wayez ban kar baat na kar
Khizar se rasta pooch kay chalna deewano ka kaam nahi

Jo mehroom-e-rakht-e-safar thay un (pbuh) ki gali tak ja puhnchay
Jazba-e-ulfat sadiq ho to koi tarapna kaam nahi

Un (pbuh) ka sana khwan Un (pbuh) ka bhikari Un (pbuh) ka sawali un (pbuh) ka gadaa
Sirf Adeeb na bolo mujh ko aik hee mera naam nahi

Un (pbuh) ki nazar main jab se main hoon ranj nahi aalaam nahi
Meri nazar main is se barh kar or koi kaam inaam nahi


Related Content

  1. Kare Chara Sazi Ziyarat Kisi Ki  Naat Lyrics
  2. Karam Hai Rab Ka Hamara Naseeb Aala Hai
  3. Taiba Bula Lijiye Na
  4. Tum Par Main Lakh Jaan se Fida Ya Rasool
  5. Ekh Talab He Ekh Hi Khoo La Ilaha Illahu (Naat Lyrics)
  6. Arsh Ka Dulha Aaya Hai Naat
  7. Ya Rasool Allah Ya Habeeb Allah (Naat Lyrics)
  8. Madinah Deykhney Ki Aarazu Hai Meray Seenay Mein (Naat Lyrics)
  9. Kya Bayaan Azmatein Hon Teri Shaha
  10. Mera Dil Madina Bana De Ya Rasoolallah  Naat Lyrics
  11. ZIKR E KHAIR UL WARA NAAT LYRICS
  12. Bheek ‘Ata Ae Nabi Muhatasham Ho
  13. Rab Mehfilan Sajayan
  14. Aa Jaye Bulawa Mujhe Aqa Tere Dar Se
  15. Dare Nabi Par Para Rahoon Ga Naat Lyrics
  16. Paigham Saba Layee Hai Yeh Gulzar E Nabi  Naat Lyrics
  17. Ae Ishq e Nabi Meray Dil Mein Bhi Sama Jana
  18. Kharab Hal Kiya Dil Ko Pur Malal Kiya  Naat Lyrics
  19. Ashkon ka meri aankh mein toofan utha ho
  20. Lab Pe Naat Paak Ka Naghma Kal Bhi Ta

Leave a comment