Ya Rabb Tere Mahboob Ka Jalwa Nazar Aaye (Naat Lyrics)

Ya Rabb Tere Mahboob ka Jalwa nazar aaye
Is Noor Mujassam ka Saraapa nazar aaye

Ay kaash kabhi aisa bhi ho kwaab me mere
Hoon jis ki Gulaami me who Aqaa nazar aaye

Ta Hashr meri qabar me ho jaaye ujaala
Marqad me jo Un ka ruke zebaa nazar aaye

Jis dar ka banaaya he ghadaa mujh ko Ilaahi
Is dar pe kabhi kaash ye maghta nazar aaye

Roshan rahe aankhen ye meri ba�de fana bhi
Gar waqt nazaa�e ho Shahe Waala nazar aaye

Kis aankh ne dekhi he misaal ankhi jahan me
Sarkaar too konain me yakta nazar aaye

Kaaba ay Riaz is ko banaalo me dil ka
Gar Naqshe Qadam mujh ko Nabi nazar aaye


Related Content

  1. BIGRI BANAA-O MAKKI MADANI
  2. Ae Maut Thehr Ja, Main Madine Tay Ja Lawan
  3. Apni Atta Ka Haq Ne Yeh Manzar Dikha Diya
  4. Meri Darkan Mey Ya Nabi Meri Sanson Mey Ya Nabi (Naat Lyrics)
  5. Aankhon ka taara naame Muhammed
  6. Jis Nay Madinay Jana Kar Lo Tayarian  Naat Lyrics
  7. Man Kunto Maulaa  Naat Lyrics
  8. Mujh Pe Maula Ka Karam Hai  Naat Lyrics
  9. Ishq Ke Rang  Naat Lyrics
  10. Ali Haidar ka gharana
  11. Mim Madina Marehara Ki Kismat   Naat Lyrics
  12. Kiya Khabar Kiya Sazaaa Much Ko Miltii
  13. Do jag de wich hoye ujaale,
  14. Dil Se Hazaar Baar Madina Tujhe Salam
  15. Zamin- O- Zamin Tumhare Liye
  16. Maqbool Dua Karna Manzoor Sana Karna  Naat Lyrics
  17. Aaj Muhammad aye moray ghar
  18. Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada   Naat Lyrics
  19. Mujhe Do Bheekh Ulfat Ki Madine Main Chala Aaun
  20. Bolte Hain Sangreze Aapke Ishare Se  Naat Lyrics

Leave a comment