Hamaray Maula Hamaray Aaqa Imam-e-Azam Abu Hanifa

Hamaray Aaqa hamaray Moula Imam e Azam Abu Hanifa
Hamaray Muljaa hamaray Maa’wa Imam e Azam Abu HanifaTum hi ko Maana, Tum hi ko Jana, Tumhi tou Sub k Imam Thehray
Mila na koi Imam Tum sa Imam e Azam Abu HanifaZamanay bhar ne Zamanay bhar mein bohat tajassus kia hay lekin
Mila na koi Imam Tum sa Imam e Azam Abu HanifaTumharay Aagay Tamam Aalam na kiun karay Zaano e Adab Kham
Kay Peshwayaan-e-Deen-e-Baala Imam e Azam Abu Hanifa

Na Kiun karain Naaz AhleSunnat kay Tum se Chamka Naseeb-e-Ummat
Siraj e Ummat Mila ho Tumsa Imam e Aazam Abu Hanifa

HAMARAY MAULA HAMARAY AAQA IMAM-E-AZAM ABU HANIFA NAAT LYRICS

Hua Uloo al-Amr se ye Sabit kay teri Taa’at zaroor wajib
Khuda ne tum ko kia hamra Imam e Azam Abu Hanifa

Siraaj Tu hay baghair teray jo koi samajhe Hadees o Quraan
Phiray batakhta na paaey rasta Imam e Azam Abu Hanifa

Jo Teri Taqleed shirk hoti, Muhaddiseen Saaray hotay Mushrik
Bukhaari-o-Muslim Ibn Majah Imam e Azam Abu Hanifa

Ye jitnay Fuqaha Muhaddiseen hain, Tmharay Khirman se Khosha Cheen hain
wo Wastay se ye Bay Waseela Imam e Azam Abu Hanifa

Khabar le Ae Dastageer e Ummat Hay Saaiq e Be khabar pe Shiddat
Wo Tera ho kar phiray bathakta? Imame Azam Abu Hanifa


Related Content

  1. Tum Par Main Lakh Jaan se Fida Ya Rasool
  2. Kab Talak Muntazir Hum Rahein Ya Nabi  Naat Lyrics
  3. Nabiyo Ke Sardar Aae  Naat Lyrics
  4. Aankhein Ro Ro Ke Sujane Wale Naat Lyrics
  5. Takdir Muje Lai Sarkar Ke Roze Par  Naat Lyrics
  6. Mujhe Dar Pay Phir Bulana  Naat Lyrics
  7. aaka ko pukar bande aaka pukar
  8. Unka Mangta Hu Jo Mangta Nahi Hone Dete Naat Lyrics
  9. Main Madine Chala  Naat Lyrics
  10. Mere Aaqa Aaye Jhoomo Mere Daata Aaye Jhoomo (Naat Lyrics)
  11. Bulalo Phir Mujhay Ey Shahe Bahrobar, Madinay Main   Naat Lyrics
  12. Taiba Bula Lijiye Na
  13. Ahlan Wa Sahlan Marhaba Lyrics
  14. Aik Talab Hai Aik Hi Khoo (Naat Lyrics)
  15. Dare Nabi Par Para Rahoon Ga Naat Lyrics
  16. Un Ka Jo Ghulaam Hogaye (Naat Lyrics)
  17. Kaabay Ki Ronaq Kaabay Ka Manzar
  18. AA GAYE MAIDAN MAIN WAFADAR E SAHABA
  19. Ya Rabb Tere Mahboob Ka Jalwa Nazar Aaye (Naat Lyrics)
  20. Aa Gayi Jag De Vich Bahaar

Leave a comment