Hum Ko Sarkar Madine Me Bulaana Hoga  Naat Lyrics

Hum ko Sarkar Madine me Bulaana Hoga
Dard Mando Ko Bhi Seene Lagaana Hoga

Jo Tadaptein Hain Gareebi me Huzoori ko Huzoor
Paas Unko Bhi Tumhe Apne Bulaana Hoga

Hum ne Sarkar SallAllahu Alaihi Wasallam ki Mehfil ko Sajaana Hoga
Dekhna Phir Mere Sarkar SallAllahu Alaihi Wasallam ka Aana Hoga

Naat Likhta hi Rahun Naat Main Padhta hi Rahun
Khud hi Bas Mere Jaane Ka Thikaana Hoga

Main to Unka Hun Gadaa Qabr me Bhi Keh Duga
Naar e Dozakh se Ye Bachne ka Bahaana Hoga

Tu Kyun Ghabraaye Bhalaa Unka SanaKhwaan Ho Kar
Hashr Tak Saath Tere Tera Hi Aaqa Hoga

Aaj Qadmon me Beetha Kar Mujhe Izzat Bakhshi
Baad Marne k Bhi Qadmon me Sulaana Hoga

Tu Kyun Ghabraaye Bhalaa Aaley Mohammed Ho Kar
Hashr Tak Saath Tere Tera hi Nana Hoga

Eid e Milad ka Sadqa Humein Eidi De do
Aaj Hum Sab pe Bhi Eidi ko Lutaana Hoga

Do Ijaazat Mujhe Bhi Laut k Aane ki Shahaa
Phir Mujhe Jald hi Qadmon me Bulaana Hoga

Waasta Zehra o Hasnain o Ali Ka Tum ko
Ranj o Gam Dard o Alam Sab k Meetaana Hoga

Sayyed e Khastaa ki Hai Aarzu Itni Aaqa
Waqt e Rukhsat Bhi Tumhe Jalwa Dikhaana Hoga


Related Content

  1. Nazar Mai Hai Kaba Tu Dil Mai  Naat Lyrics
  2. Allah Allah Allahu,Allah Allah Allahu
  3. Do Jahaan Ke Waali Ka  Naat Lyrics
  4. BARI UMEED HAI SARKAR QADMON
  5. JASHNE AHMEDE RASOOL ALLAH HI ALLAH
  6. Main Nazar Karun Jaan O Jiigar  Naat Lyrics
  7. Madine Ke Zaa-ir Salaam Unse Kehna  Naat Lyrics
  8. Mere Aaqa Aao Ke Muddat Hoi Hai
  9. Woh Bhi Din Ayega Ek Bar
  10. Ya Rab Hai Bakhsh Dena 
  11. Bhejo Darood Us Zaat Per,mikar sada kaho
  12. Aseero Ke Mushkil Kusha Gaus e Aazam
  13. Koi Aaye Koi Jaaye  Naat Lyrics
  14. MADINE KA SAFAR HAI AUR MAIN NAMDEDA NAMDEDA NAAT LYRICS
  15. Mai Toh Miladi Hu  Naat Lyrics
  16. Kushiyo Ki Bahaare Laaya Ramzan Mubarak Aaya  Naat Lyrics
  17. Karam Jo Aapka Ay Sayyad E Abrar Ho Jaye  Naat Lyrics
  18. Khairul Bashar Par Lakho Salam  Naat Lyrics
  19. Mere Aaqa Ki Hai Shaan Sabse Alag Naat Lyrics
  20. Ajab Rang Par Hain Bahaar E Madina

Leave a comment