Maah E Rabi Ul Awwal Aaya  Naat Lyrics

Mahe Rabi Ul Awwal Aaya Naat Lyrics

Mahe Rabi Ul Awwal Aaya

Rabb Ki Rehmat Sath Me Laya

Peer Ka Din Tareekh He Barah

Farsh Pe Chamka Arsh Ka Tara

Aj Ki Rat Barat Rachi He

Amena Ke Ghar Dhoom Machi He

Ghar Me Hoore Darr Pe Malak He

Jinke Qatare Ta-b-Falak He

Thandi Hawa Ka Jhonka Aya

Shour Macha Ik Salle Ala Ka

Lo Ab Uthi Gard E Savari

Paide Hue Mehboob E Bari

Rehmat E Alam Noor E Mujassam

Sallallahu Alaihe Wasallam

Tum Bhi Utho Ab Waqt E Adab He

Zikre Wiladat Shahe Arab He

Takht He Unka Taj He Unka

Dono Jahan Pe Raj He Unka

Jinno Malak He Unke Sipahi

Rab Ki Khudai Me Inshahi

Unche Unche Yaha Jhukte He

Sare Unhi Ka Muh Takte He

Shaho Gada He Unke Sawali

Fakhr He Sabko Inki Ghulami

Kabe Ki Zeenat Inhi Ke Dam Se

Taibah Ki Rounak Inke Qadam Se

Kaba Ki Kya Sare Jaha(n) Me

Dhoom Machi He Kono Maka(n) Me

Mahe Rabi Ul Awwal Aaya Naat Lyrics

Amena Bi Ko La’al Mubarak

Dayi Haleema Ko Bal Mubarak

Tumko Khaleelullah Mubarak

Tumko Zabeehullah Mubarak

Dan Karo Kuch Jashn He Bhari

Darr Pe Khade He Sare Bhikari

Dar Pe He Hazir Apne Paraye

Apke Dam Se As Lagaye

Chashme Karam Lillah Idhar Ho

Salike Khasta Par Bhi Nazar Ho


Related Content

  1. Bulalo Phir Mujhay Ae Shah-e-Behrobar
  2. Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein  Naat Lyrics
  3. Aaka Ko Pukar Bande Aaka Pukar
  4. AA GAYI MUSTAFA KI SAWARI
  5. Milaad Hai Milaad Hai Sarkaar Ka Milaad Hai  Naat Lyrics
  6. Rusul Unhi Ka To Muzdah Sunane Aaye Hai  Naat Lyrics
  7. Hum Gunahgaaron Ka Aye Rab Ke Rasool
  8. Hum Ne Marny Ki Madiny men dua
  9. Karbala K Jan Nisaro Ko Salam  Naat Lyrics
  10. Jo Ho Chuka Hai Jo Hoga Huzoor Jante Hain  Naat Lyrics
  11. Apni Rehmat Ke Sumandar Mein Utar Jaane De Naat Lyrics
  12. Un Ki Nazar Mein
  13. Abhi jibril utre
  14. Hum Khak Hain Aur Khak Hi Mawa Hain Hamara  Naat Lyrics
  15. Ahlan Wa Sahlan Marhaba Lyrics
  16. Dil Dard Se Bismil Ki Tarha Laut Raha Ho  Naat Lyrics
  17. Main Muddat Se Is Aas Par Ji Rahi Hoon  Naat Lyrics
  18. Jashn-e-wiladat Zindabad  Naat Lyrics
  19. Unka Mangta Hu Jo Mangta Nahi Hone Dete Naat Lyrics
  20. Bigdi Bhi Banayenge  Naat Lyrics

Leave a comment