Mein Sajdah Karun Ya Ke Dil Ko Sambhalun  Naat Lyrics

Mein sajdah karun ya ke dil ko sambhalun muhammad ki chokhat nazar aa rahi hei
Issi be-khudi main kahiin kho na ja-un tarrap kamli waale ki tarrap aa rahi hei

Do aalam ka daata mere saamne hei ke kaabe ka kaaba mere saamne hei
Ada kyun na farz-e-muhabbat karun mein khuda ki khudaii jhuki ja rahi hei

Galai main hein zulfain to neechi nigahain nazar chuumti hei madine ki raahein
Farishte bhi barh kar qadam choomte hein muhammad ki jogan chali aa rahi hei

Faqeeri ka mujh main nahiin hei saleeqa na aata hei kuch maangne ka tareeqa
Idhar bhi nigaahe karam kamli waale zamane ki jholi bhari ja rahi hei

Farishto sar-e-raah ankhain bicha do uttho behr-e-tazeem sar ko jhuka do
Khuda keh raha hei mere dilruba ki wo dekho sawaari chali aa rahi hei

Ye farmaya haq ne ke pyaare muhammad hamare ho tum ham tumhare muhammad
Hamain apne jalwon main eh kamli waale tumhari hi surat nazar aa rahi hei

Ye jazba muhabbat hei rahmat khuda ki hei chokhat mere saamne mustafa ki
Mujhe kyun na ho naaz qismat pe muslim muhabbat kahaan ki kahaan la rahi hei


Related Content

  1. Aaya Ramzan ka Mahina Kafila chala soo-e-Madina lyrics
  2. Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada   Naat Lyrics
  3. Mujhe Rang De Maula
  4. Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte  Naat Lyrics
  5. Bigdi Bhi Banayenge  Naat Lyrics
  6. Sahara Chahiye Sarkar Zindagi Ke Liye  Naat Lyrics
  7. Main Muddat Se Is Aas Par Ji Rahi Hoon  Naat Lyrics
  8. He Kalaame Ilahi Me Shamsudduha  Naat Lyrics
  9. Jo Guzar Nasib Ho Aey Saba Kisi Din Diyaare Hijaaz Mein
  10. Do Jahaan Ke Waali Ka  Naat Lyrics
  11. Karbala K Jan Nisaro Ko Salam  Naat Lyrics
  12. Bulalo Phir Mujhay Ae Shah-e-Behrobar
  13. Apni Lagan Laga De
  14. Woh Bhi Din Ayega Ek Bar
  15. Chor Fikr Duniya Ki Chal Madine Chalte Hain
  16. Aakhri roze hain dil ghamnak muztar jaan hai
  17. Wah Kya Joodo Karam Tazmeen
  18. Darpesh Ho Taiba Ka Safar Kaisa Lage Ga  Naat Lyrics
  19. Gali Hondi Madine Di Lyrics
  20. BAN KE NOOR E KHUDA MUSTAFA AGAYE

Leave a comment