Munawwar Meri Aankhon ko Naat Lyrics

Munawwar meri aankhon ko

Mere Shamso-dduha kardey

Gamon ki dhup mein woh

Sayae zulfe dutaa kardey

Jahan-bani ata karde

Bhari jannat hiba kardey

Nabi Mukhtar-e-kull hey

Jisko jo chahain ata karde

Jahan mein unki chalti hai

Wo dam mein kya se kya kardein

Zameen ko aasman karde

Surayya ko sara karde

Faza main udne wale yhun

Na itraaein nidaa kardey

Wo jab chahain jise chahain

Use farmaan-rawa kardey

Nabi se jo hai be-gaana

Use dil se juda kardey

Pidar Madar Biradar

Jaano maal un par fida kardey

Suraka ko bhi sone key to

Woh kangan ata kardey

Nabi Mukhtar-e-kull hey

Jisko jo chahain ata karde

Ata karde bula kar dey

Bitha kar de utha kar dey

Nabi Mukhtar-e-kull hey

Jaise jab chahe ata kardey

Jahan mein aam paygam e shahe

Ahmad Raza kardey

Palat kar pichhe dekhey

Fir se Tajdeed e wafa kardey

Khataein karne wala main

Ataein karne wale aap

Mere Aaqa mere haq main

Ise dastur saa kardey

Khayale hazrate Hassan sey

Ham naatein sajate hain

Kami reh jaaye to puree

Bareli ke Raza kardey

Muje kiya fikr ho Akhtar

Mere yaawar hain woh yaawar

Bala ho oh meri jo khud

Giriftare balaa karde

Tamannae dil e Ashraf

Bas itni hai sare Kausar

Jab Aaqa jame kausar dey

Labe Akdas laga kar dey


Related Content

  1. Karam Ke Badal Baras Rahe Hain  Naat Lyrics
  2. Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein
  3. Bigdi Bhi Banayenge  Naat Lyrics
  4. Mojza Mere Nabi Ka Naat Lyrics
  5. Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein  Naat Lyrics
  6. Un Ka Jo Ghulaam Hogaye (Naat Lyrics)
  7. Mustafa Aap Ke Jesa Koi Aaya Hi Nahi  Naat Lyrics
  8. Madina Saaddi Jaan Ay (Naat Lyrics)
  9. Ae Bekason Ke Wali dede hamain sahara
  10. Kaabay Ki Ronaq Kaabay Ka Manzar
  11. Muflis E Zindagi Ab Na Samjhe Koi   Naat Lyrics
  12. Ay Mustafa Ke Phool Dilon Jaan Ya Hussain
  13. Bekhud Kiye Dete Hain Andaaz E Hijabana  Naat Lyrics
  14. Ravi De Kande Mere Data Dera Laya  Naat Lyrics
  15. Dekar Khuda Ko Jaan Ki Kimat Naat Lyrics
  16. Hum Gunahgaaron Ka Aye Rab Ke Rasool
  17. Hamen Donon Jahan Mein Hai Sahara Gause-Azam Ka Lyrics
  18. Ashkon ka meri aankh mein toofan utha ho
  19. Tu Shamm-e- Risalat Hai
  20. Tere Paak Naam Pe Aye Khuda Hamd Lyrics

Leave a comment