Rashke Qamar Hu Range Rukhe Aftaab Hu  Naat Lyrics

Rashke Qamar Hun Range Rukhe Aftab Hun

Zarra Tera Jo Aye Shahe Gardoon Janab Hun

Durre Najaf Hoon Gauhare Pake KHunshab Hun

Ya’ni Turabe Reh Guzare Bu Turab Hun

Gar Ankh Hoon To Abr Ki Chashme Purab Hun

Dil Hoon To Barq Ka Dile Pur Iztirab Hun

Khooneen Jigar Hoon Taire Be Asiyan Shaha

Range Paridaye Rukhe Gul Ka Jawab Hun

Be Aslo Be Sabat Hoon Behre Karam Madad

Parwardaye Kanare Sarabo Habab Hun

Ibrat Faza Hai Sharme Gunah Se Mera Sukoot

Goya Labe Khamoshe Lahad Ka Jawab Hun

Kyun Nala Soz Le Karoon Kyun Khoone Dil Piyu

Seekhe Kabab Hoon Na Main Jame Sharab Hun

Dil Basta Be Karar, Jigar Chak, Ashkbar

Guncha Hoon Gul Hoon Barqe Tapan Hoon Sahab Hun

Da’wa Hai Sab Se Teri Shafa’at Pe Beshtar

Daftar Me Asiyon Ke Shaha Intikhab Hun

Maula Duhayi Nazron Se Gir Kar Jala GHunlam

Ashke Muzah Rasidaye Chashme Kabab Hun

Mit Jaye Ye KHundi To Woh Jalwa Kahan Nahin

Darda Me Ap Apni Nazar Ka Hijab Hun

Sadqe Hoon Us Pe Nar Se Dega Jo Makhlasee

Bulbul Nahin Ki Atashe Gul Par Kabab Hun

Qalib Tahee Kiye Hama Agosh Hai Hilal

Aye Shah Saware Taiba! Main Teri Rikab Hun

Kya Kya Hain Tujh Se Naz Tere Kasr Ko Ke Main

Ka’be Ki Jan, Arshe Bari Ka Jawab Hun

Shaha Bujhe Sakar Mere Ashkon Se Ta Na Main

Abe Abas Chakidaye Chashme Kabab Hun

Main To Kahan Hi ChaHun Ke Banda Hoon Shah Ka

Par Lutf Jab Hai Keh Den Agar Woh Janab ‘Hun’

Hasrat Me Khak Bosiye Taiba Ki Aye Raza

Tapka Jo Chashme Mehar Se Woh Khoone Nab Hun


Related Content

  1. Lab Pe Naat Paak Ka Naghma Kal Bhi Ta
  2. Na Ho Aaraam Jis Bimaar Ko Saare Zamaane Se (Naat Lyrics)
  3. Apni Atta Ka Haq Ne Yeh Manzar Dikha Diya
  4. Khairul Bashar Par Lakho Salam  Naat Lyrics
  5. Sarkar Bulae Kadmo Mai  Naat Lyrics
  6. Mera Dil Aur Meri Jaan Madine Waale (Naat Lyrics)
  7. Bigri Banaa-o Makki Madani (Naat Lyrics)
  8. Nabiyo Ke Sardar Aae  Naat Lyrics
  9. Jab Masjid Nabvi Kay Minaar Nazar Aey (Naat Lyrics)
  10. Woh Bhi Din Ayega Ek Bar
  11. Dil Mein Ho Yaad Teri Gosha E Tanhaii Ho  Naat Lyrics
  12. Noor E Ahmed Ki Ziyaa Hai Maslak E Ahmed Raza  Naat Lyrics
  13. Tere Qadmo Me Aana, Mera Kaam Tha (Naat Lyrics)
  14. Main Madine Chala  Naat Lyrics
  15. Munawwar Meri Aankhon ko Naat Lyrics
  16. Faslon Ko Takalluf Hai Humse Agar  Naat Lyrics
  17. Ae Mowla Ik Baar Dikhadey Jalwa Kamli Waley Ka
  18. MADINE KA SAFAR HAI AUR MAIN NAMDEDA NAMDEDA NAAT LYRICS
  19. Jitna Diya Sarkaar Ne Mujh Ko Itni Meri Awqaat Nahi
  20. OWAISION MEIN BAITH JA BILALIYON MEIN BAITH JA

Leave a comment