Sarkar Ka Madina  Naat Lyrics

Ushaaq Ka Hai Pyara Sarkaar Ka Madina
Har Aankh Ka Hai Pyara Sarkaar Ka Madina.Dekhi Sunehri Jaali Mehraab Unka Mimbar
Jannat Ka Hai Nazaara Sarkaar Ka Madina.

Gunmbad Minaar Unke Kya Khoob Lag Rahe Hai
Khulde Bari Ka Naqsha Sarkaar Ka Madina.

Jis Ko Yaqeen Na Aye Taiba Woh Dekh Aaye
Jannat Se Jaise Utra Sarkaar Ka Madina.

Daaman Me Hain Uhad Ke Turbat Ye Kya Niraali
Madfan Me Hai Iske Hamza Sarkaar Ka Madina.

Waan Hajio Ka Jaana Yaan Aasiyon Ka Aana
Hai Kaabe Ka Bhi Kaaba Sarkaar Ka Madina

Anwaar Hai Baraste Shaamo Sahar Yaha Par
Hain Kis Qadar Suhana Sarkaar Ka Madina

Sarkaar Ki Gali Me Gar Maut Aa Gayi To
Bakshish Ka Hai Sahara Sarkaar Ka Madina

Aye Kaash Maut Humko Taibe Nagar Me Aye
Bane Aakhri Thikana Sarkaar Ka Madina.

Hasnain O Fatima Ke Maula Ali Ke Sadqe
Rahe Yun Hi Aana Jaana Sarkaar Ka Madina

Rizwan Ki Dua Hai Ahmad Ki Iltija Hai
Bane Aankhri Thikana Sarkaar Ka Madina

Jaau Madine Phir Se Ye Aarzoo Dili Hai
Ahmad Ka Ho Thikana Sarkaar Ka Madina.


Related Content

  1. AA GAYE MAIDAN MAIN WAFADAR E SAHABA
  2. Naatein Sarkar Ki Parta Hoon Mein
  3. Al Madad Al Madad Al Madad Ya Khuda  Naat Lyrics
  4. Koi Aaye Koi Jaaye  Naat Lyrics
  5. Ya Rabb Meri Soee Huwi Taqdeer Jaga De (Naat Lyrics)
  6. Dil Mein Ho Yaad Teri Gosha E Tanhaii Ho  Naat Lyrics
  7. Aa Dil Main Tujhe Rakh Loun
  8. Mojza Mere Nabi Ka Naat Lyrics
  9. Zamin O Zaman Tumhare Liye (Naat Lyrics)
  10. Qadri Aastana Salamat Rahe  Naat Lyrics
  11. Gham Hogaye Be Shumar Aaqa  Naat Lyrics
  12. Noor Ki Barsat Ka Alam Nirala Ho Gya (Naat Lyrics)
  13. Jab Jab Nabi Ki Yaad Aye Hai Naat Lyrics
  14. Taybah Ki Hai Yaad Aayee Ab Ashk Bahaanay Do
  15. Mainto Panjatan Ka Gulam Hu  Naat Lyrics
  16. Kushiyo Ki Bahaare Laaya Ramzan Mubarak Aaya  Naat Lyrics
  17. Taiba Bula Lijiye Na
  18. Ae Ishq e Nabi Meray Dil Mein Bhi Sama Jana
  19. Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein
  20. Mein Mangta Haan Teray Ishq Da  Naat Lyrics

Leave a comment