Aaka Ko Pukar Bande Aaka Pukar

aaka ko pukar bande aaka pukar

inshaallah ho jaega tera bera paar

aaka ko pukar bande……………….

unke hath me cool kunji hai

rab ne unhe mukhtar kiya

hum ko unka mangta banaya

or unhe sarkar kiya

jo sarkar ke dar ka gada hai

wo khud hai mukhtar

aaka ko pukar bande………………..

kya kehana darbare nabi ka

uski shaan hi aali hai

har giz na mehrum wo lota

us dar ka jo sawali hai

aao chale ab suae madina

chhor ke sab dharbar

aaka ko pukar bande………………..

aala hazarat ne yaro ye

sabak hame sikhlaya hai

jo gustakhe khuda wa nabi hai

apna nahi wo paraya hai

ha aise gustakho par

maula ki hai fitkar

aaka ko pukar bande………………..

kyu gamgin hai tu ae ‘sayyid’

dar par wo bulwaenge

ranjo gam sab dur karege

soae bhug jagaenge

or bhi koy unke siwa hai

dukhiyo ka gam-khwar

aaka ko pukar bande………………..

apni to pahechan yahi hai

apni to hai shaan yahi

daman mai kuchh or nahi hai

dil mai hai armaan yahi

itni parhu me unki naate

razi ho sarkar

aaka ko pukar bande………………..

yade nabi me tu ae ‘razwi’

unki midahat karta ja

deewaro ka dil bhar aae

zom ke naate parhata ja

jald madine jaaega tu

lagate hai aasar

aaka ko pukar bande………………..


Related Content

  1. Dekar Khuda Ko Jaan Ki Kimat  Naat Lyrics
  2. Nabi Ke Ishq Ne, Jis Ko Hasin Banaaya Hai
  3. Main Madine Chala  Naat Lyrics
  4. Ilahi Madad Kar Madad Ki Ghari Hai  Naat Lyrics
  5. Takdir Muje Lai Sarkar Ke Roze Par  Naat Lyrics
  6. Muhammad Ke Shaher Mein   Naat Lyrics
  7. AA GAYE MUZDA SHAFAAT KA SUNANE WALE
  8. Ho Karam Sadqey Mein Is Raat Ke Aye Rab E Azeem
  9. Aap shamme risalat hain parwaney hum
  10. Subha Taibah Me Hui Bat’ta Hain Baada Noor Ka  Naat Lyrics
  11. Kaabe Ke Dar Ke Saamne (Naat Lyrics)
  12. Kya Khabar Kya Saza Mujh Ko Milti  Naat Lyrics
  13. Sahab E Rehmat E Baari Hai Barahvi Tareekh
  14. labbaik_labbaik_Allahumma_labbaik_naat_lyrics
  15. Main Muddat Se Is Aas Par Ji Rahi Hoon (Naat Lyrics)
  16. Karahe Hain Teri Sana Khani
  17. Manqabat E Taaj Ush Shariyath  Naat Lyrics
  18. Baykhud kayay daitay hein andaz hajabana
  19. Ab Meri Nigahon Mein Jachta Nahi Koi
  20. Balaghal Ula Bi Kamalihi

Leave a comment