aaka ko pukar bande aaka pukar

aaka ko pukar bande aaka pukar

inshaallah ho jaega tera bera paar

aaka ko pukar bande……………….



unke hath me cool kunji hai

rab ne unhe mukhtar kiya

hum ko unka mangta banaya

or unhe sarkar kiya

jo sarkar ke dar ka gada hai

wo khud hai mukhtar

aaka ko pukar bande………………..



kya kehana darbare nabi ka

uski shaan hi aali hai

har giz na mehrum wo lota

us dar ka jo sawali hai

aao chale ab suae madina

chhor ke sab dharbar

aaka ko pukar bande………………..



aala hazarat ne yaro ye

sabak hame sikhlaya hai

jo gustakhe khuda wa nabi hai

apna nahi wo paraya hai

ha aise gustakho par

maula ki hai fitkar

aaka ko pukar bande………………..



kyu gamgin hai tu ae ‘sayyid’

dar par wo bulwaenge

ranjo gam sab dur karege

soae bhug jagaenge

or bhi koy unke siwa hai

dukhiyo ka gam-khwar

aaka ko pukar bande………………..



apni to pahechan yahi hai

apni to hai shaan yahi

daman mai kuchh or nahi hai

dil mai hai armaan yahi

itni parhu me unki naate

razi ho sarkar

aaka ko pukar bande………………..



yade nabi me tu ae ‘razwi’

unki midahat karta ja

deewaro ka dil bhar aae

zom ke naate parhata ja

jald madine jaaega tu

lagate hai aasar

aaka ko pukar bande………………..





Related Content

  1. Bhejo Darood Us Zaat Per,mikar sada kaho
  2. Subhe Baharaan  Naat Lyrics
  3. Bheek ‘Ata Ae Nabi Muhatasham Ho
  4. MAIN MANGTA HAAN TERE ISHQ DA NAAT LYRICS
  5. Main Bhi Roze Rakhunga Lyrics
  6. Tajalli E Noor E Kidam Ghous E Aazam  Naat Lyrics
  7. Aa Gaye Aa Gaye Mustafa Aa Gaye
  8. Ho Karam Sarkar Ab Tou Ho Gaye Ghum Beshumaar  Naat Lyrics
  9. MERE BAGHDAADI GHAUSUL ANAAM NAAT LYRICS
  10. Soo Ae Jannat Kohn Jaae Dar Tumhara Chor Kar
  11. Al Madad Al Madad Al Madad Ya Khuda  Naat Lyrics
  12. Faslon Ko Takalluf Hai Humse Agar  Naat Lyrics
  13. Mere Aaka Mere Aaka Naat Lyrics
  14. Jaise Meri Sarkaar He Aisa Nahein Koiee
  15. Man Kunto Maulaa  Naat Lyrics
  16. Zamin- O- Zamin Tumhare Liye
  17. Koi Aaye Koi Jaaye  Naat Lyrics
  18. Uchiyan Uchiyan Shaana 
  19. Barhy jo karky vo
  20. Zaban Pey Sirf Hai Dawa e Misal Koi Nahi

Leave a comment