Abr E Karam Gesoo E Muhammad

Abr E Karam Gesoo E Muhammad
Donu Haram Abroo E Muhammad

Sab Ki Nazar Hay Soo E Ka’bah
Ka’bah Takay Hay Roo E Muhammad

Ka’bay Ko Kis Ne Banaya Qiblah
Ka’bay Ka Ka’bah Roo E Muhammad

Sajda E Sar Hay Soo E Ka’bah
Sajda-E-Dil Hay Soo E Muhammad

Saaray Chaman Mein Kis Ki Khushboo
Khushboo Hay Khushboo E Muhammad

Kis Ki Chamak Hay Paykar E Gul Mein
Gul Mein Khila Hay Roo E Muhammad

Dhaaray Chalay Har Ungli Se Unki
Dekho Wo Nikli Joo E Muhammad

Sab Se Anokha Moo E Muhammad
Sab Se Niraali Koo E Muhammad

Kis Ka Moo Deta Hay Gawahi
Moo E Muhammad Moo E Muhammad

Zinda Hay Wallah Zinda Hay Wallah
Jaan E Do Aalam Roo E Muhammad

Rashk E Tayba Kia Hay Dikhaun?
Dekho Qad E Dil Joo E Muhammad

Bheeni Bheeni Khushboo Lahki
Khul Gaey Jab Gesoo E Muhammad

Ye Raah Mahki Woh Raah Mahki
Khul Gaey Jab Gesoo E Muhammad

Akhtar E Khasta Chal De Jinaan Ko
Baag E Jinaan Hay Koo E Muhammad


Related Content

  1. Jab Gumbad-E-Khazra Pe Wo Pehli Nazar Gayi
  2. Mojza Mere Nabi Ka Naat Lyrics
  3. Ab Meri Nigahon Mein Jachta Nahi Koi
  4. Muhammad Nabina   Naat Lyrics
  5. Madine Ke Waali Do Alam Ke Data Naat Lyrics
  6. Na Dolat De Na Shohrat De  Naat Lyrics
  7. Habib E Khuda Ka Nazaara Karoon Main (Naat Lyrics)
  8. Baravein Ka Chand Aya, Baravein Ka Chand Aya (Naat Lyrics)
  9. Jo Madina Hum Bhi Jaate To Kuch Aur Baat Hoti (Naat Lyrics)
  10. Khuda Ka Zikr Kare  Naat Lyrics
  11. Aa mil yaar saar le meri, meri jaan dukhaan ne
  12. Mujhe Tohfay Mein Mila Ramzan Lyrics
  13. Kankar Se Kalma Padhwao Phir Kehna Hum Jaise The
  14. Qurban Tumpe Meri Jaan
  15. Saare Jag Nalo Lagdiyan Changiyan Madine Diyan Paak Galiyan
  16. Noor Ki Barsat Ka Alam Nirala Ho Gya (Naat Lyrics)
  17. Gham Hogaye Be Shumar Aaqa  Naat Lyrics
  18. Karahe Hain Teri Sana Khani
  19. Ab To Bas Ek Hi Dhun Hai Ke Madina Dekhoon
  20. May So Jaoo Ya Mustafa Kehtey Kehtey (Naat Lyrics)

Leave a comment