Aye Hasnain Ke Nana

Ya Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) nazre karam farmana
Aye Hasnain ke nana

Zahra paak ke sadqe humko
Taiba me bulana
Aye Hasnain ke nana

Ya Nabi nazre karam farmana
Aye Hasnain ke nana

Aap ke dar ka mai hu bhikari
Aap hai mere daata
Saare rishte naato se hai
Pyaara apna naata
Aap to hai aata hai jinko
sabki laaj nibhana
Aye Hasnain ke nana

Ya Nabi nazre karam farmana
Aye Hasnain ke nana

Be saaya hai lekin woh
Jag par hai aapka saaya
Arshe moh`alla bana mohalla
Deed ko Rab ne bulaya
Hasr tak na hoga kisika
Aisa aana jana
Aye Hasnain ke nana

Ya Nabi nazre karam farmana
Aye Hasnain ke nana

Sajh gayi hai meelad ki mehfil
Kya hai khoob nazara
Kaifo masti me dooba hai
Dekho aalam saara
Dhund rahi aap ki rehmat
Bakshish ka bahaana
Aye Hasnain ke nana

Ya Nabi nazre karam farmana
Aye Hasnain ke nana

Nisbat ka faizan hai dekho
Khadim e Gaus e Jali hu
Karta hai mujh pe naaz zamana
Mai Ausaat e Ali hu
Aap ki aal ke dar ka sag hu
Aur saahil hu purana

Ya Nabi nazre karam farmana
Aye Hasnain ke nana


Related Content

  1. Kaabay Ki Ronaq Kaabay Ka Manzar
  2. BAN KE NOOR E KHUDA MUSTAFA AGAYE
  3. Ahmed-e-Mujtaba Ya Rasool-e-Khuda
  4. Hai Kalaam-E-Ilahi Me Shams-O-Duha   Naat Lyrics
  5. Aa mil yaar saar le meri, meri jaan dukhaan ne
  6. Ab Kahan Jaon Tarap Ke Lyrics
  7. Jhoole Jhoole Pyare Mohammad  Naat Lyrics
  8. Ek Ghuzarish  Naat Lyrics
  9. Jab Gumbad-E-Khazra Pe Wo Pehli Nazar Gayi
  10. Madina Saaddi Jaan Ay (Naat Lyrics)
  11. Tu Kareen hi Jo Thehra Tu Karam Ke Kiya Thikane (Naat Lyrics)
  12. Hum Gunahgaaron Ka Aye Rab Ke Rasool
  13. Habib E Khuda Ka Nazaara Karoon Main (Naat Lyrics)
  14. MADINE KA SAFAR HAI AUR MAIN NAMDEDA NAMDEDA NAAT LYRICS
  15. Aa Gaye Aa Gaye Mustafa Aa Gaye
  16. Aj Sik Mitran Di Wadheriye Kyun Dilri Udaas Ghaneri
  17. Bakht e Khufta Ne Mujhe Roze Pe Jane Na Diya
  18. TARON MEIN ROSHNI
  19. Sar Ta Ba-qadam Hai Tan E Sultane Zaman Phool  Naat Lyrics
  20. Agayaa Wo Noore Waala Jiska Saara Noor He (Naat Lyrics)

Leave a comment