Ban Kay Kher-ul-Wara Agaey Mustafa Lyrics

Ban kay Kher ul Wara Agaey Mustafa ham gunahgaron kee behteri kayliyay
Ik taraf bakhshishain ik taraf jannatain kesey in’aam hein ummati kayliyay

Chaarsoo rehmaton kee hawain chaleen ho gaee jis sey sari faza dil nasheen
Muskurao sabhi agaey hein nabi gham kay maaro tumhari khushi kayliyay

Halqay halqay jo dil ko suroor aeyen hein bazm main kamle wale zaroor aeye hein
Haath pehlao kashkol lay kar sabhi batt rahe hein karam har kisee kayliyay

Saamnain hon wo gumbad kee haryalian choom loon aap kay rozay kee jalian
Ey mere chara gar kar day muj pey nazar kab sey beychein hoon hazari kayliyay

Daata hujweri laasani mehr-e-ali khwaja hind ul wali baahoo ghaus e jali
Kesey kesey diyay mere mehboob nain yeh nageenain hamain roshni kayliyay

Jis kay lab par raha ummati ummati yaad un kee na bhoolo niazi kabhi
Woh kahain ummati tu bhi keh ya nabi mein hoon hazir teree chakree kayliyay


Related Content

  1. Dil Se Hazaar Baar Madinah Tujhe Salaam Lyrics
  2. Chor Fikr Duniya Ki Chal Madine Chalte Hain    Naat Lyrics
  3. Jo Ho Chuka Hai Jo Hoga Huzoor Jante Hain  Naat Lyrics
  4. Sar Ta Ba-qadam Hai Tan E Sultane Zaman Phool  Naat Lyrics
  5. TERE HOTE JANAM LIYA HOTA
  6. MAIN MANGTA HAAN TERE ISHQ DA NAAT LYRICS
  7. Ashkon ka meri aankh mein toofan utha ho
  8. Ab Meri Nigahon Mein Jachta Nahi Koi
  9. Ki Ki Na Kita Yaar Ney Eik Yaar Waste  Naat Lyrics
  10. Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte  Naat Lyrics
  11. Tajallia Ey Noor Fidam Ghaus E Azam  Naat Lyrics
  12. Na Kaleem Ka Tasawwur Na Khiyaal-E-Tur-E-Sinaa  Naat Lyrics
  13. Khuda Ka Zikr Kare  Naat Lyrics
  14. Madine Ke Zaa-ir Salaam Unse Kehna  Naat Lyrics
  15. Pesh E Haq Muzhda Shafa-at Ka Sunate Jaenge Lyrics
  16. AA GAYI MUSTAFA KI SAWARI
  17. Dil Dard Se Bismil Ki Tarah Lot Raha Ho Naat Lyrics
  18. Mein Mangta Haan Teray Ishq Da  Naat Lyrics
  19. Hamne Quraan Mai Parha Hai  Naat Lyrics
  20. Muflis E Zindagi Ab Na Samjhe Koi   Naat Lyrics

Leave a comment