Dard E Dil Chahiye Chashm E Tar Chahiye

Dard E Dil Chahiye Chashm E Tar Chahiye
Mujh Ko Aaqa Ki Pyaari Nazar Chaahiye

Hai Munawwar Ziya Sey Yeh Saara Jahan
Sab Key Dil Ki Haqeeqat Hai Unpar ‘Ayaan
Merey Dil Ki Tamanna Hai Jaan E Jahan
Noor Ki Eyk Kiran Ab Idhar Chaahiye

Sarwarey Do Jahan Ka Hai Behad Karam
Zaatey Waala Sey Qaayim Hai Mera Bharam
Mujh Ko Aaqa Dikhaatey Ho Apna Haram
Aap Ki Deed Ko Chashm E Tar Chaahiye

Khud Khudaa Ney Banaaya Hai Tum Ko Habeeb
Aur Uss Ney Banaaya Hai Tum Ko Tabeeb
Marz E ‘Isyaan Sey Ab To Shifa Ho Naseeb
Sunnaton Par ‘Amal ‘Umr Bhar Chaahiye

Ya Nabi Mujh Pey Ho Eyk Karam Ki Nazar
Baar E ‘Isyaan Sey Ab To Jhuki Hai Kamar
Koi Husn E ‘Amal To Nahin Hai Magar
Mujh Ko Bakhshish Ka Zaad E Safar Chaahiye

Bheek ‘Ilm O ‘Amal Ki ‘Ataa Keejiye
Apni Sunnat Ka Paikar Banaa Deejiye
Jaam E ‘Ulfat Mujhey Ab Pilaa Deejiye
Waqt E Aakhir Mujhey Wo Nazar Chaahiye

Sharf E Khidmat ‘Ataa Ho Gulaamon Ko Ab
Jitney ‘Ushaaq Hain Sab Rahey Baa Adab
Khuld Maskan Baney Aur Raazi Ho Rab
Har Du’a Mey Meyri Wo Asar Chaahiye

Jo Mujaahid Philisteen Mey Hain Shahaa
Aas Tum Par Laga Kar Hee Paayain Jilaa
Khaak Mey Zaalimon Ki Miley Ab Jafaa
‘Aashiqon Key Liye Ab Zafar Chaahiye

Mujh Ko Aaqa Madiney Bulatey Rahey
Shakir E Bey Nawaa Ko Nibhatey Rahey
Apna Mehmaan Hameysha Banaatey Rahey
Aakhree Waqt Mujh Ko Yeh Dar Chaahiye


Related Content

  1. ALIF ALLAH CHAMBAY DE BOOTI
  2. Bas Apne Dil Maen Madine ki
  3. An Nabi Sallo Alaih  Naat Lyrics
  4. Ahmad Raza Ka Taza Gulistan Hai Aaj Bhi
  5. Habib E Khuda Ka Nazaara Karoon Main (Naat Lyrics)
  6. Aa Jaye Bulawa Mujhe Aqa Tere Dar Se
  7. Hum Khak Hain Aur Khak Hi Mawa Hain Hamara  Naat Lyrics
  8. AA GAYI MUSTAFA KI SAWARI
  9. Sunte Ho Bekaso Fariyad Ki Gause Aazam  Naat Lyrics
  10. Kya Jane Duniya Wale Rutba Mere Madani Ka  Naat Lyrics
  11. Dardo Aalam Ke Mare
  12. Na Ho Aram Jis Bimar Ko Sare Zamane Se  Naat Lyrics
  13. Dil Se Hazaar Baar Madina Tujhe Salam
  14. Mujhe bhi MADINAY bulaa Mayray Mowla
  15. Baarwein Ka Chaand Aaya Lyrics
  16. Mere Dil Mein He Yaad-E-Muhammad  Naat Lyrics
  17. Ae Sabz Gumbad Wale Lyrics
  18. Madani Madine Waale (Naat Lyrics)
  19. labbaik_labbaik_Allahumma_labbaik_naat_lyrics
  20. CHAL QALAM AB HAMD E RABB

Leave a comment