Dil Madina Mera Bana Aaqa

Dil madina mera bana Aaqa ,

Ho mujhe chashm-e-nam ataa Aaqa

Ab huzoori ho, dur doori ho,

Phir madine mujhe bula Aaqa

Maut ke baad, bhi suroor aee,

Aisi ulfat ki mai pila Aaqa

Mujh ko Siddiq (Radi Allahu Anhu) ki sadaqat ka,

Koi zara Tu  kar ataa Aaqa

Kash roe Khashiyat-e-Rab se,

Behr-e-Farooq  dil mera Aaka

Behr-e-Usman  ba hea mujh ko,

Dijiye dolat-e-hea Aqa

Behr-e-Mola Ali mujhe ghalba,

Dushmano per tu kar ataa Aaka

Az pee Fatima mujhe apne,

Ishq mein har ghari rula Aaka

Behr-e-Hasnain de panah mujh ko,

Paikar-e-sabr or riza Aaqa

Mujh ko sadqe mein Bu-Hanifa  ke,

Aalim-e-baa amal bana Aaqa

Waasta tujh ko Ghous-e-Azam  ka,

Naik seerat mujhe bana Aaqa

Waasta tujh ko Alahazrat ka,

Tu mujhe muttaqi bana Aaqa

Mere ahlo-eaal ore mujh se,

Door ho jee har bala Aaqa

Muskura kar Ubaid se keh do,

Tu mera banda mein tera Aaqa


Related Content

  1. labbaik_labbaik_Allahumma_labbaik_naat_lyrics
  2. Ali Haidar ka gharana
  3. Noori Mahfil Lyrics
  4. Aaqa Ka Milad Aaya
  5. Noori Mehfil Pe Chadar Tani Noor Ki  Naat Lyrics
  6. Chamak Tujh Say Paatay Hain
  7. Rahmat Ka Hai Darwaza Khula
  8. Aaqa Le Lo Salaam Ab Hamara
  9. Tala Al Badru Alayna  Naat Lyrics
  10. Bekhud Kiye Dete Hain Andaaz E Hijabana  Naat Lyrics
  11. Aa Jaaye Bulawa Mujhe Aqa Tere Dar Se
  12. Sweet Madina Sweet Madina  Naat Lyrics
  13. Raate Bhi Madine Kee Baate Bhi Madine Kee  Naat Lyrics
  14. ALLAH Ho Rabo Muhammadin
  15. Meetha Meetha He Mere Muhammad Ka Naam  Naat Lyrics
  16. Meri Jholi Main Rehte Hain Sada Tukre Muhammad Ke  Naat Lyrics
  17. Piraane Pir, Meri Bigri Banaao  Naat Lyrics
  18. Aseero Ke Mushkil Kusha Gaus e Aazam
  19. Aankhon Mein Bas Geya Hai Madina Huzoor Ka Naat Lyrics
  20. Madine Ke Zaa-ir Salaam Unse Kehna  Naat Lyrics

Leave a comment