Hum Ko Sarkar Madine Me Bulaana Hoga  Naat Lyrics

Hum ko Sarkar Madine me Bulaana Hoga
Dard Mando Ko Bhi Seene Lagaana Hoga

Jo Tadaptein Hain Gareebi me Huzoori ko Huzoor
Paas Unko Bhi Tumhe Apne Bulaana Hoga

Hum ne Sarkar SallAllahu Alaihi Wasallam ki Mehfil ko Sajaana Hoga
Dekhna Phir Mere Sarkar SallAllahu Alaihi Wasallam ka Aana Hoga

Naat Likhta hi Rahun Naat Main Padhta hi Rahun
Khud hi Bas Mere Jaane Ka Thikaana Hoga

Main to Unka Hun Gadaa Qabr me Bhi Keh Duga
Naar e Dozakh se Ye Bachne ka Bahaana Hoga

Tu Kyun Ghabraaye Bhalaa Unka SanaKhwaan Ho Kar
Hashr Tak Saath Tere Tera Hi Aaqa Hoga

Aaj Qadmon me Beetha Kar Mujhe Izzat Bakhshi
Baad Marne k Bhi Qadmon me Sulaana Hoga

Tu Kyun Ghabraaye Bhalaa Aaley Mohammed Ho Kar
Hashr Tak Saath Tere Tera hi Nana Hoga

Eid e Milad ka Sadqa Humein Eidi De do
Aaj Hum Sab pe Bhi Eidi ko Lutaana Hoga

Do Ijaazat Mujhe Bhi Laut k Aane ki Shahaa
Phir Mujhe Jald hi Qadmon me Bulaana Hoga

Waasta Zehra o Hasnain o Ali Ka Tum ko
Ranj o Gam Dard o Alam Sab k Meetaana Hoga

Sayyed e Khastaa ki Hai Aarzu Itni Aaqa
Waqt e Rukhsat Bhi Tumhe Jalwa Dikhaana Hoga


Related Content

  1. Maqbool Dua Karna Manzoor Sana Karna  Naat Lyrics
  2. Sarkar Ka Madina  Naat Lyrics
  3. Hamne Quraan Mai Parha Hai  Naat Lyrics
  4. Aa Gaye Sarkar Naat Lyrics
  5. Noori Mahfil Lyrics
  6. Baykhud kayay daitay hein andaz hajabana
  7. Arshe Haq Hai Masnade Rifat Rasoolullah Ki – Naat Lyrics
  8. Aa Dil Main Tujhe Rakh Loun
  9. Huzoor Aa Gaye Hai  Naat Lyrics
  10. Aakhri roze hain dil ghamnak muztar jaan hai
  11. Sayyed Ne Karbala Main Waade Nibha Diye Hain
  12. Woh Rasool Mera Rasool Hai (Naat Lyrics)
  13. Tumhi Arsh Say Farsh Par Janay Walay (Naat Lyrics)
  14. Sunte Ho Bekaso Fariyad Ki Gause Aazam  Naat Lyrics
  15. Ya Nabi Ya Nabi
  16. Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai  Naat Lyrics
  17. Aaya Ramzan ka Mahina Kafila chala soo-e-Madina lyrics
  18. Mere Aaka Mere Aaka Naat Lyrics
  19. Ay Mustafa ke fool dilojaan ya hussain
  20. Mujh Pe Maula Ka Karam Hai  Naat Lyrics

Leave a comment