Madina Madina Hamara Madina Naat Lyrics

Madina Madina Hamara Madina Naat Lyrics

Madina Madina hamara Madina

Hame Jano dil se He oiyara Madina

Sohana sohana dil ara Madina

Har ashiq ki ankhon ka tara Madina

Sabhi Asiqe Mustafa kah rahe hein

Hamein to He Janat se piyara Madina

Ye rangeen fazaein ye mahki hawaein

Mo’atar mo’anber He sara Madina

Madine kay Jalwoon kay qurban jaon

He Qudrat ne kaisa sanwara Madina

Paharoon mein bhe husn kantein bhe dilqash

Baharoon ne kaisa nikhara Madina

Wahan Piyara Kaba yahan Sabz Gumbad

Wo Makkah bhe meetha to Piyara Madina

Madina Madina Hamara Madina Naat Lyrics

Bulalejeye ab to Qadmoon mein Aqa

Dikha dejeye ab to piyara Madina

Phiroon gird Kaba piyoon Abe Zam Zam

Mein phir a kay dekhoon Tumhara Madina

Masaib howe dour sare jahan kay

Giya jab koi gham ka mara Madina

He shaho gada muflis-o-aghniya ka

Bila raib sab ka guzara Madina

Ye diwane Aqa ! Madine ko aein

Bolalo inhein ab Khudara Madina

Khuda gar qiyamat mein Farmae Mangoo!

Ligaein gay diwane Nara “Madina”

Madine mein Aqa hamein mout ae

Bane kash! madfan hamara Madina

Use sair-e-gulshan say kya ho ta’aluq!

Kiya jis ne Tera Nazara Madina

ZIYA(Rehmatullah Alaih) Peer-o-Murshid k Sadke mein Aqa

Ye ATTAR ae dobara Madina


Related Content

  1. Muhammad Ke Ghulamon Ka Kafan Maila Nahi Hota Lyrics
  2. Ae Shaaf’e Umam Sha’e Zee Jaah Le Khabar
  3. Ab To Bas Ek Hi Dhun Hai Ke Madina Dekhoon
  4. Jashn-e-wiladat Zindabad  Naat Lyrics
  5. Arsh e aazam kyu na phade fhir khutba fazley rahma ka
  6. Noor Ki Barsat Ka Alam Nirala Ho Gya (Naat Lyrics)
  7. Ni Mitiyye Madeene Diye
  8. Nabi Ke Ishq Ne, Jis Ko Hasin Banaaya Hai
  9. Mere Dil Mein He Yaad-E-Muhammad  Naat Lyrics
  10. Ya Rab Hai Bakhsh Dena 
  11. Zahe Muqaddar Huzoor-E-HaqSe
  12. Faslon Ko Takalluf Hai Humse Agar  Naat Lyrics
  13. YA TAIBA YA TAIBA
  14. Bheek ‘Ata Ae Nabi Muhatasham Ho
  15. Sab Se Aola Woh Aala Hamara Nabi (Naat Lyrics)
  16. Rukh Se Parda Ab Apne Hata Do  Naat Lyrics
  17. Mein Taliyan Nabi Diyan Choomda Lyrics
  18. Meri Darkan Mey Ya Nabi Meri Sanson Mey Ya Nabi (Naat Lyrics)
  19. Choote Na Kabhi Tera Daman ya khwaja moinuddin hassan
  20. sallay-ala-pukaro-sarkar-arahe-hain

Leave a comment