Munawwar Meri Aankhon ko Naat Lyrics

Munawwar meri aankhon ko

Mere Shamso-dduha kardey

Gamon ki dhup mein woh

Sayae zulfe dutaa kardey

Jahan-bani ata karde

Bhari jannat hiba kardey

Nabi Mukhtar-e-kull hey

Jisko jo chahain ata karde

Jahan mein unki chalti hai

Wo dam mein kya se kya kardein

Zameen ko aasman karde

Surayya ko sara karde

Faza main udne wale yhun

Na itraaein nidaa kardey

Wo jab chahain jise chahain

Use farmaan-rawa kardey

Nabi se jo hai be-gaana

Use dil se juda kardey

Pidar Madar Biradar

Jaano maal un par fida kardey

Suraka ko bhi sone key to

Woh kangan ata kardey

Nabi Mukhtar-e-kull hey

Jisko jo chahain ata karde

Ata karde bula kar dey

Bitha kar de utha kar dey

Nabi Mukhtar-e-kull hey

Jaise jab chahe ata kardey

Jahan mein aam paygam e shahe

Ahmad Raza kardey

Palat kar pichhe dekhey

Fir se Tajdeed e wafa kardey

Khataein karne wala main

Ataein karne wale aap

Mere Aaqa mere haq main

Ise dastur saa kardey

Khayale hazrate Hassan sey

Ham naatein sajate hain

Kami reh jaaye to puree

Bareli ke Raza kardey

Muje kiya fikr ho Akhtar

Mere yaawar hain woh yaawar

Bala ho oh meri jo khud

Giriftare balaa karde

Tamannae dil e Ashraf

Bas itni hai sare Kausar

Jab Aaqa jame kausar dey

Labe Akdas laga kar dey


Related Content

  1. Kuch Aisa Kar De Mere Kirdgaar Aankho Me  Naat Lyrics
  2. BAN KE NOOR E KHUDA MUSTAFA AGAYE
  3. Izn Kar do Ataa Dar Pe Aaon Shaha Naat Lyrics
  4. Ab Meri Nigahon Mein Jachta Nahi Koi
  5. Jab Husn Tha Unka Jalwa Numa   Naat Lyrics
  6. Dil Madina Mera Bana Aaqa
  7. Muhammad Ke Ghulamon Ka Kafan Maila Nahi Hota Lyrics
  8. Aaqa Ka Milad Aaya
  9. Jo Madina Hum Bhi Jaate (Naat Lyrics)
  10. REHAM KARO YA SHAH-E-DO AALAM
  11. Jashn-e-wiladat Zindabad  Naat Lyrics
  12. Nabi Ke Ishq Ne, Jis Ko Hasin Banaaya Hai
  13. Aaj Dulha Bana Shahe Ahmad Raza
  14. Soona jungle raat andheri chaye hai
  15. Balaghal Ula Bi Kamalihi
  16. Jahan Bani Ata Karde  Naat Lyrics
  17. Banke Sail Madine Noo Lyrics
  18. Mein Chup Khra Huva Hun Darbar-E-Muatafa Mein  Naat Lyrics
  19. Dare Khwaja Pe Sawali Ko Khada Rehne Do (Naat Lyrics)
  20. Ab To Bas Ek Hi Dhun Hai Ke Madina Dekhoon

Leave a comment