Na Chedo Zirk E Jannat  Naat Lyrics

Na chedo zirk e jannat ab Madinah yaad aya hai
Nabi ka sabz Gumbad dil ki aankhaon me samaya hai
Mila karti hai mooh maange muradein Unke Rauze par
Ghulamau ne Tere Dar se jo maanga hai woh paya hai
Khuda ki Sultanat ke Tum ho Dulha Ya Rasoolullah
Tumhare waaste RABB ne yeh A’alam sajaya hai
Shabe Asra Mubarak baad dee yeh hooraun ne
Muhammed ko Khuda e Pak ne Dulha banaya hai
Namazaun me Azaan me Kalmah me aur Arsh par har ja
Khuda ne naam Tera naam se apne milaya hai
Zameen ko cheerte daude huwe aae hai khidmat me
Darakhtaun ne isharah Aapka jis waqt paya hai
Tumhari zaat par kyun kar bharosa ho na alam ko
Gunah-garaun ko Tumne naar e dozakh se bachaya hai
Ijabat ne liya bosah Tumhare pyare hotaun ka
Dua ke waaste jis waqt Tum ne lab hilaya hai
Koee pur saane haal apna nahi hai Ya Rasoolullah
Jo apna hai to Tu hai aur baqi sab paraya hai
Sana e Mustafa woh bhi rawayat e sahiha se
Jameele Qadri kya khoob tere paas maya hai


Related Content

  1. Ki Ki Na Kita Yaar Ney Eik Yaar Waste  Naat Lyrics
  2. Unki Mahek Ne Dil Ke Ghunchey Khila Diye He
  3. Nazar Mai Hai Kaba Tu Dil Mai  Naat Lyrics
  4. Nabi Nabi Nabi Nabi  Naat Lyrics
  5. Aadha Idhar Aadha Udhar
  6. Paigham Saba Layee Hai Yeh Gulzar E Nabi  Naat Lyrics
  7. Hasbi Rabbi Jallal Lah Allah Ho Allah
  8. Khuda Ka Zikr Kare  Naat Lyrics
  9. Baarwein Ka Chaand Aaya Lyrics
  10. Noori Mehfil Pe Chadar Tani Noor Ki  Naat Lyrics
  11. Munawwar Meri Aankhon ko Naat Lyrics
  12. Aao ahle shariat pardhaye tumhe
  13. Mashgala Aisa Batao Ke Zara  Naat Lyrics
  14. NABI KA JASHAN AAYA 
  15. Mera Dil Aur Meri Jaan Madine Waale (Naat Lyrics)
  16. Gar Talab Sey Kuch Masewa Chahey
  17. Dil Se Hazaar Baar Madina Tujhe Salam
  18. Meh Toh Panj Than Ka Ghulaam Hun (Naat Lyrics)
  19. Mujhe bhi MADINAY bulaa Mayray Mowla
  20. Woh Nabiyon Main Rehmat Laqab Panay Wala

Leave a comment