Sarkar Ka Madina  Naat Lyrics

Ushaaq Ka Hai Pyara Sarkaar Ka Madina
Har Aankh Ka Hai Pyara Sarkaar Ka Madina.Dekhi Sunehri Jaali Mehraab Unka Mimbar
Jannat Ka Hai Nazaara Sarkaar Ka Madina.

Gunmbad Minaar Unke Kya Khoob Lag Rahe Hai
Khulde Bari Ka Naqsha Sarkaar Ka Madina.

Jis Ko Yaqeen Na Aye Taiba Woh Dekh Aaye
Jannat Se Jaise Utra Sarkaar Ka Madina.

Daaman Me Hain Uhad Ke Turbat Ye Kya Niraali
Madfan Me Hai Iske Hamza Sarkaar Ka Madina.

Waan Hajio Ka Jaana Yaan Aasiyon Ka Aana
Hai Kaabe Ka Bhi Kaaba Sarkaar Ka Madina

Anwaar Hai Baraste Shaamo Sahar Yaha Par
Hain Kis Qadar Suhana Sarkaar Ka Madina

Sarkaar Ki Gali Me Gar Maut Aa Gayi To
Bakshish Ka Hai Sahara Sarkaar Ka Madina

Aye Kaash Maut Humko Taibe Nagar Me Aye
Bane Aakhri Thikana Sarkaar Ka Madina.

Hasnain O Fatima Ke Maula Ali Ke Sadqe
Rahe Yun Hi Aana Jaana Sarkaar Ka Madina

Rizwan Ki Dua Hai Ahmad Ki Iltija Hai
Bane Aankhri Thikana Sarkaar Ka Madina

Jaau Madine Phir Se Ye Aarzoo Dili Hai
Ahmad Ka Ho Thikana Sarkaar Ka Madina.


Related Content

  1. Jhoole Jhoole Pyare Mohammad  Naat Lyrics
  2. Ay HabeeB E Ahmed E Mujtaba Dil E Mubtala Ka Salam Lo
  3. Chamka Mahe Noor Ka Hilal   Naat Lyrics
  4. Aaka Ko Pukar Bande Aaka Pukar
  5. Un Ka Jo Ghulaam Hogaye (Naat Lyrics)
  6. Baykhud kayay daitay hein andaz hajabana
  7. Taiba Bula Lijiye Na
  8. Mere Dil Mein He Yaad-E-Muhammad  Naat Lyrics
  9. Hum Apni Hasrat E Dil Ko Mitane Aaye Hai  Naat Lyrics
  10. Tajallia Ey Noor Fidam Ghaus E Azam  Naat Lyrics
  11. Azal Ki Khushboo Ho
  12. Kyunkar Na Merey Dil Main Hu Ulfat Rasool Ki
  13. Ae Ishq e Nabi Meray Dil Mein Bhi Sama Jana
  14. Main Muddat Se Is Aas Par Ji Rahi Hoon (Naat Lyrics)
  15. Muhammad Nabina   Naat Lyrics
  16. Sahab E Rehmat E Baari Hai Barahvi Tareekh  Naat Lyrics
  17. TARON MEIN ROSHNI
  18. ALLAH Ho Rabo Muhammadin
  19. Mere Aqa Aoo Ke Muddat Hoi Hai  Naat Lyrics
  20. Ab To Bas Ek Hi Dhun Hai Ke Madina Dekhoon

Leave a comment