Zahe Muqaddar Huzoor-E-HaqSe

Zahe muqaddar huzur-e-haq se salaam aaya payam aaya
Jhukao nazreen bichao palkeen adab ka aala maqam aaya

Yeh kon sar se kafan lapetey chala hai ulfat ke raatey par
Farishtey hairat se tak rahe hain yeh kon zi ehteram aaya

Faza mein labbaik ki sadain za farsh ta aarsh goonjhti hain
Har ek qurban ho raha hai zaban pe yeh kis ka naam aaya

Yeh rahe-haq hai sambhal ke chalna yahan hai manzil qadam qadam par
Pohanchna dar par to kehna aaqa salaam lijiye ghulam aaya

Yeh kehna aaqa bohat se aashiq taraptey se choor aaya hoon mein
Bulawe ke muntazir hai lekin na subah aaya na sham aaya

Dua jo nikli thi dil se aakhir palat ke maqbool ho ke aai
Woh jazba jis mein tarap thi sachi woh jazba aakhir ko kaam aaya

Khuda tera hafiz-o-nigehban o rahe batha ke jaane wale
Nabi de saad in bisat ban kar payam darood-o-salaam aaya

Zahe muqaddar huzur-e-haq se salaam aaya payam aaya
Jhukao nazreen bichao palkeen adab ka aala maqam aaya


Related Content

  1. Do jag de wich hoye ujaale,
  2. Nabi Ke Ishq Ne, Jis Ko Hasin Banaaya Hai
  3. Bahar e Jaan Fiza Tum Ho
  4. Parho Durood Kay Molood Ki Ghari Aayi  Naat Lyrics
  5. Ae Shahenshah e Madina Assalat o Wassalam
  6. Jannat Mein Leke Jayegi Chahat Rasul Ki  Naat Lyrics
  7. Sunte Ho Bekaso Fariyad Ki Gause Aazam  Naat Lyrics
  8. Salle Ala Nabiyena. Salle Ala Muhammadin
  9. Mujhe Apna Bana Lo Tum Khudara  Naat Lyrics
  10. Main Bhi Roze Rakhunga Lyrics
  11. Aap ke Darbar se khali gaya koi nahi
  12. Nazar Ko Bax Do Aisa Asar GARIB NAWAZ  Naat Lyrics
  13. Huzoor Aisa Koi Intezam  Naat Lyrics
  14. Allaha Ha Ghar Kulde Ka Naqsha Nahie Dekha (Naat Lyrics)
  15. MERE BAGHDAADI GHAUSUL ANAAM NAAT LYRICS
  16. TAN SADQE MERA MANN SADQE
  17. Unki Mahek Ne Dil Ke Ghunchey Khila Diye He
  18. Nazar Mai Hai Kaba Tu Dil Mai  Naat Lyrics
  19. AA GAYE MAIDAN MAIN WAFADAR E SAHABA
  20. Kaabe Ke Dar Ke Saamne Maangi Hai Dua Faqat  Naat Lyrics

Leave a comment