Aaj Muhammad Aye Moray Ghar

Aaj Muhammad aye moray ghar
Salle ‘alaa ki dhoom hai ghar ghar

Ankhon mein maazagh ka surma
Sar par taaj Warafa’na ka
Husn-e-mujassam Allahu akbar

Subh-e-azzal hai Mukhra un ka
Shaam-e-awad hai Zulf ka saya
Unse hua har qalb munawwar

Mehndi lagaon ghar ko sajaon
Main angan mein naachon gaaon
Tann mann waaron Unke Charan par

Aao sakhio mill kar gayein
Apne Piya ka jashn manayein
Salle ‘alaa ki dhoom hai ghar ghar

Rim jhim barse noor ki barkha
Aaya hai mi’raj ka Dulha
Dharti aur aakaash se behtar

Dosh pe youn Gesu lehraye
Bheeni bheeni khusboo aye
Rang-o-nighat saara manzar

Amina Bi ka Raaj Dulara
Kitna anokha kitna pyaara
Chaand uttar aaya hai zameen par

Ban ke shab-e-miraaj mein Dulha
Pohnche jab aflaak pe Aaqa
Naghma tha har eik ki zuban par

Tall jaayegi saari musibat
Aa jaye ga dor-e-rahat
Ab to mujhe dekheinge nazar bhar

Anjum bekass Aap ka mangta
Dijiye bakshish jagg ke Data
Boond hoon main aur Aap samandar

Aaj Muhammad aye moray ghar
Salle ‘alaa ki dhoom hai ghar ghar


Related Content

  1. Bigri Bhe Banain Ge Jalwy Bhe Dekhain Ge
  2. Aao aao sar ko jhukayen Aaqa ka rauza nazar aagaya
  3. Faslon Ko Takalluf Hai Humse Agar  Naat Lyrics
  4. Apne Damane Shafa’at Mein Chhupaye Rakhna Naat Lyrics
  5. Zamin- O- Zamin Tumhare Liye
  6. Nabi Ke Ishq Ne, Jis Ko Hasin Banaaya Hai
  7. Khairul Bashar Par Lakho Salam  Naat Lyrics
  8. Koi Aaye Koi Jaaye  Naat Lyrics
  9. Bigri Bhe Banain Ge Jalwy Bhe Dekhain Ge  Naat Lyrics
  10. Sar Sue Rouza Jhuka Phir Tujhko Kya  Naat Lyrics
  11. Aaya Ramzan ka Mahina Kafila chala soo-e-Madina lyrics
  12. Unki Mahek Ne Dil Ke Ghunchey Khila Diye He
  13. Shukr E Khuda Ki Aaj Ghari Us Safar Ki Hai  Naat Lyrics
  14. Salle Ala Nabiyena. Salle Ala Muhammadin
  15. BATIL KE JAB JAB BADLE HAI TEVAR NAAT LYRICS
  16. TAN SADQE MERA MANN SADQE
  17. Kaabe Ke Dar Ke Saamne (Naat Lyrics)
  18. Soo Ae Jannat Kohn Jaae Dar Tumhara Chor Kar
  19. parho woh matlaye noori sanaye mahre Anwar ka Lyrics
  20. Noori Mehfil Pe Chadar Tani Noor Ki  Naat Lyrics

Leave a comment