Meray Rub Kahan Par Naheeh Hai Tu

*****************Mere Rab Kahan Pe Nahin Hai Tu***************************

Mere Rabb Kahaa(N) Pe Nahi(N) Hai Tu – Teri Shaan Jalla Jalaaluhu

Tere Zarre, Zarre Mei(N) Hai Namud – Teri Shaan Jalla Jalaaluhu

Teri Zaat Khaaliqe Do Jahaa(N) – Chale Hukm Tera, Yahaa(N), Wahaa(N)
Teri Har Zubaa(N) Pe Hai Guftagu – Teri Shaan Jalla Jalaaluhu

Teri Qudrato(N) Ka Shumaar Kya – Teri Wusato(N) Ka Hisaab Kya

Tu Muhite Aa’Lame Rango Boo – Teri Shaan Jalla Jalaaluhu

Jise Chaahe Tu Woh Aziz Hai – Jise Tu Na Chaahe Zalil Hai

Tere Haath Zillat-O-Aabru – Teri Shaan Jalla Jalaaluhu

Hai Riyaz Khasta Ki Iltija – Baargaah Mei(N) Aey Khuda

Mera Chaako Amaa(N) Bhi Ho Rafu – Teri Shaan Jalla Jalaaluhu

Author: Janaab Allama Sayyad Riyazuddin Sohrawardi

Meanings:
Namud = Zaahir Hona
Wusato(N) = Wideness
Muhit = To Circumscribe, Comprehend And Know All, E.G.,Aa’Lam
Ke Saare Rango Boo Tere Qabze Mei(N) Hai.
Khasta = Thaka Hua, Pareshaan Haal
Chaako = To Cut Or Tear


Related Content

  1. Kuch Aisa Kar De Mere Kirdgaar Aankho Me  Naat Lyrics
  2. Apni Ata Ka Haq Ne Ye Manzar Dekha Diya
  3. Aaqa Ke Ghulamo Ko Ab Eid Manane Do
  4. karam phir rasule khuda kijiyega naat lyrics
  5. Kaak Sooraj Se Andehro Ka Izalah Hoga (Naat Lyrics)
  6. Noorani Darbaar Madine Waale Ka
  7. Tum Par Main Lakh Jaan se Fida Ya Rasool
  8. Subhe Baharaan  Naat Lyrics
  9. Bigri Bhe Banain Ge Jalwy Bhe Dekhain Ge
  10. Aankhen purnoor karu dekh ke chehra unka
  11. Mujhe bhi MADINAY bulaa Mayray Mowla
  12. Bigri Bhe Banain Ge Jalwy Bhe Dekhain Ge  Naat Lyrics
  13. Tere Paak Naam Pe Aye Khuda Hamd Lyrics
  14. Hasbi Rabbi Jallal Lah Allah Ho Allah
  15. Dil Se Hazaar Baar Madinah Tujhe Salaam Lyrics
  16. Nabi Ke Ishq Ne, Jis Ko Hasin Banaaya Hai
  17. Aseero Ke Mushkil Kusha Gaus e Aazam
  18. Unka Mangta Hu Jo Mangta Nahi Hone Dete Naat Lyrics
  19. Maqsad E Aalam E Hayaat E Nabi
  20. Eid-E-Nabvi Ka Zamana Aa Gaya  Naat Lyrics

Leave a comment