Chamka Mahe Noor Ka Hilal   Naat Lyrics

Bekaso se hai jinhe pyar wohi aaye hai
Dono alam ke hai gamkhwar wohi aaye hai.Ya Rasoolallah صلی اللہ علیہ وسلم Marhaba Marhaba
Ya Habiballah صلی اللہ علیہ وسلم Marhaba MarhabaEk nazar asman pe daal merhaba,
Chamka mah e noor ka Hilal merhaba.Zande lagao, galiya sajao
Karlo charaga, ghar jagmagao

Razi hoga Rabb-e-Zuljalal. Merhaba
Mehfil sajao naate sunao

Aaqa ki amad ki dhoome machao
Rozo shab yahi ho apna haal. Merhaba

Aashiq ke dil jagmagane lage hai
Dekho zara muskurane lage hai

Shahkar-e-Rabb-Zuljalal Merhaba
Sadqa viladat ka jalwa dikha do

Dil ki lagi abb to aaqa buja do
Dikhla do apna abb jamal. Merhaba

Judo sakahwat se adat tumhari
Failaye daman khade hai bhikari

Kar do karma Amena ke lal Merhaba
Jame shahadat piya hai jinhone

Ahle sunan ko jila di unhone
Yaad ayenge woh har saal. Merhaba

Shadi ke nagme sunate rehenge
Jashne viladat manate rahenge

Vaar denge tumpe jaanomal Merhaba..
Padhne laga jab UBAID unki naate

Hone lagi charsoo ooski baaten,
Faize Raza ka hai sab kamal Merhaba


Related Content

  1. CHAL QALAM AB HAMD E RABB
  2. Takdir Muje Lai Sarkar Ke Roze Par  Naat Lyrics
  3. Do jag de wich hoye ujaale,
  4. Aane Walon Yeh To Batao Lyrics
  5. Aey Ishq E Nabi Mere Dil Main Bhi Samaa Jaana (Naat Lyrics)
  6. Ya Rabb Meri Soee Huwi Taqdeer Jaga De (Naat Lyrics)
  7. Kitna Ala Rutba Hai Mere Ghouse Azam Ka  Naat Lyrics
  8. Aanay Walo Yay To Bataao Shehr Madina Kaisa Hai (Naat Lyrics)
  9. Na Kahin Se Door Hein Manzilen  Naat Lyrics
  10. Madinah Deykhney Ki Aarazu Hai Meray Seenay Mein (Naat Lyrics)
  11. Ho Karam Sarkar Ab Tou Ho Gaye Ghum Beshumaar  Naat Lyrics
  12. Islam Zindabad, Islam Zindabad
  13. Haqeeqat Me Woh Lutfe Zindagi Paya Nehi Karte (Naat Lyrics)
  14. Aamal Nahin Kuch Bhi Yeh Haal Hamara Hai
  15. Allah Nabi Da Naam Layye Allah Nabi Da
  16. AA GAYI MUSTAFA KI SAWARI
  17. Nazar Mai Hai Kaba Tu Dil Mai  Naat Lyrics
  18. Dil Mein Ho Yaad Teri Gosha E Tanhaii Ho  Naat Lyrics
  19. Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare
  20. TARON MEIN ROSHNI

Leave a comment