Abr e Karam Gesoo E Muhammad

Abr e Karam Gesoo E Muhammad
Donu Haram Abroo E Muhammad

Sab ki Nazar hay Soo E Ka’bah
Ka’bah takay hay Roo E Muhammad

Ka’bay ko kis ne banaya Qiblah
Ka’bay ka Ka’bah Roo E Muhammad

Sajda E Sar hay Soo E Ka’bah
Sajda-e-Dil hay Soo E Muhammad

Saaray Chaman mein kis ki Khushboo
Khushboo hay Khushboo E Muhammad

Kis ki Chamak hay Paykar E Gul mein
Gul mein Khila hay Roo E Muhammad

Dhaaray chalay har Ungli se Unki
Dekho wo Nikli Joo E Muhammad

Sab se Anokha Moo E Muhammad
Sab se Niraali Koo E Muhammad

Kis ka Moo deta hay Gawahi
Moo E Muhammad Moo E Muhammad

Zinda hay Wallah Zinda hay Wallah
Jaan E Do Aalam Roo E Muhammad

Rashk E Tayba kia hay dikhaun?
Dekho Qad E Dil Joo E Muhammad

Bheeni Bheeni Khushboo Lahki
Khul gaey jab Gesoo E Muhammad

ye raah Mahki woh raah mahki
Khul gaey jab Gesoo E Muhammad

Akhtar E Khasta Chal de Jinaan ko
Baag E Jinaan hay Koo E Muhammad


Related Content

  1. Jahan Roza E Pak E Khairul Wara Hai  Naat Lyrics
  2. Dare Khawaja Pe Sawali  Naat Lyrics
  3. Noor Se Apne Sarwar E Aalam  Naat Lyrics
  4. Tum Par Main Jan
  5. Aaj Dulha Bana Shahe Ahmad Raza
  6. Allaha Ha Ghar Kulde Ka Naqsha Nahie Dekha (Naat Lyrics)
  7. Noori Mahfil Lyrics
  8. Sadkhe Me Mustafa Ke Madine Ko Jayeinge  Naat Lyrics
  9. Subha Taibah Me Hui Bat’ta Hain Baada Noor Ka  Naat Lyrics
  10. Aaqa Ka Milad Aaya
  11. Ab Meri Nigahon Mein Jachta Nahi Koi
  12. Ya Rabb Meri Soee Huwi Taqdeer Jaga De (Naat Lyrics)
  13. Huzoor Aa Gaye Hai  Naat Lyrics
  14. Mere Aaqa Aaye Jhoomo Mere Daata Aaye Jhoomo (Naat Lyrics)
  15. Nabi Ka Aastan Ho Or Mera Sar Ho To Kia Kehna  Naat Lyrics
  16. Haajiyon Aao Shahenshah ka Roza Dekho Naat Lyrics
  17. Bekhud Kiye Dete Hain Andaaz E Hijabana  Naat Lyrics
  18. Do Jahaan Ke Waali Ka  Naat Lyrics
  19. Tajallia Ey Noor Fidam Ghaus E Azam  Naat Lyrics
  20. Izn Kar do Ataa Dar Pe Aaon Shaha Naat Lyrics

Leave a comment