Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !

Rutb ye wilaayat me.n kya Gaus ne paaya hai
Allah ne waliyo.n ka sardaar banaaya hai
Hai dast-e-‘ali sar par, hasnain ka saaya hai
Mere Gaus ki Thokar ne murdo.n ko jilaaya hai

Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !
Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !

Laakhon ne usi dar se taqdeer bana li hai
Bagdaadi sanwariya ki har baat niraali hai
Doobi hui kashti bhi dariya se nikaali hai
Ye naam adab se lo, ye naam jalaali hai

Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !
Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !

Har fikr se tum ho kar aazaad chale jaao
Le kar ke labo.n par tum fariyaad chale jaao
Milna hai agar tum ko waliyo.n ke shahansha se
Khwaaja se ijaazat lo, baGdaad chale jaao

Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !
Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !

Gaur keeje ki nigaah-e-Gaus ka kya haal hai
Hai qutub koi, wali koi, koi abdaal hai
Door hai jo Gaus se, bad-baKHt hai, bad-haal hai
Jo deewaana Gaus ka hai sab me.n be-misaal hai
Deen me.n KHush-haal hai, duniya me.n maala-maal hai

Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !
Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !

Milne ko shama’ se ye parwaana ta.Dapta hai
Qismat ke andhero.n me.n din-raat bhaTakta hai
Is ‘ishq-e-haqeeqi me.n itna to asar aae
Jab band karu.n aankhe.n, baGdaad nazar aae

Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !
Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !

Andaaz bayaa.n un ka ham kar nahi.n paaenge
Ajmer se ho kar ham baGdaad ko jaaenge
Jab aae bala ham par, ham un ko bulaaenge
Tum dil se sada to do, wo haath ba.Dhaaenge

Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !
Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !

Ya Gaus ! karam kar do, Ya Gaus ! karam kar do
Wo deen daulat se daaman ko mere bhar do
Bas itni guzaarish hai, bas ek nazar kar do
Bagdaad ki galiyon main Chhota saa mujhe ghar do

Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !
Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !


Related Content

  1. Sahab E Rehmat E Baari Hai Barahvi Tareekh
  2. Izn Kar do Ataa Dar Pe Aaon Shaha Naat Lyrics
  3. Ya Habib e Ahmed Mujtaba Dil e Mubtala Ka Salam Lo
  4. Apni Ata Ka Haq Ne Ye Manzar Dekha Diya
  5. Main Muddat Se Is Aas Par Ji Rahi Hoon (Naat Lyrics)
  6. Aa mil yaar saar le meri, meri jaan dukhaan ne
  7. Rusul Unhi Ka To Muzdah Sunane Aaye Hai  Naat Lyrics
  8. AA GAYE MAIDAN MAIN WAFADAR E SAHABA
  9. Rukh Se Parda Ab Apne Hata Do  Naat Lyrics
  10. Yah Kis Shahnsha Ki Aamad Aamad Hai (Naat Lyrics)
  11. Aa Jaaye Bulawa Mujhe Aqa Tere Dar Se
  12. Kaabe Ke Badrud Duja Tum Pe Karoron Durood  Naat Lyrics
  13. Kardo Allah Karam Ay Mere Shahe Umam
  14. Ye Zakm He Tayba Ka Ye Sub Ko Nahein Milta
  15. Apni Lagan Laga De
  16. Furqate Taiba Kee Wehshat Dil Se Jaaye Khair Se  Naat Lyrics
  17. HAR DESH MAIN GUNJEGA
  18. Khuda Ne Mujhko Diya Maa Teri Duaaon Se  Naat Lyrics
  19. Madina Sadi Jaan Hai Lyrics
  20. Na Kaleem Ka Tasawwur Na Khiyaal-E-Tur-E-Sinaa  Naat Lyrics

Leave a comment