Aseero Ke Mushkil Kusha Gaus e Aazam

Aseero Ke Mushkil Kusha Gaus e Aazam
Faqeeron Ke Haajat Rawaa Gaus e Aazam

Ghira Hai Balaaoñ Meiñ Bandaa Tumhara
Madad Ke Liye Aao Ya Gaus E Aazam

Tere Haath Meiñ Haath Maine Diya Hai
Tere Haath Hai Laaj Ya Gaus E Azam

Mureedoñ Ko Khatra Nahiñ Behre Gam Se
Ke Bede Ke Haiñ Naakhuda Gaus E Azam

Tumheeñ Dukh Suno Apne Aafat Zadoñ Ka
Tumheeñ Dard Ki Do Dawa Gaus E Aazam

Bhañwar Meiñ Phansa Hai Hamara Safeena
Bachaa Gaus E Aazam Bachaa Gaus E Aazam

Jo Dukh Bhar Rahaa Hooñ Jo Gam Seh Rahaa Hooñ
Kahooñ Kis Se Tere Siwa Gaus E Aazam

Zamaane Ke Dukh Dard Ki Ranj O Gam Ki
Tere Haath Meiñ Hai Dawaa Gaus E Azam

Agar Sultanat Ki Hawas Ho Faqeeroñ
Kaho “Shai Al Lillah” Ya Gaus E Aazam

Nikaala Hai Pehle Tho Doobe Huwoñ Ko
Aur Ab Doobtoñ Ko Bacha Gaus E Aazam

Jise Khalq Kehti Hai Pyaara Khuda Ka
Usi Ka Hai Thu Laadla Gaus E Aazam

Phañsa Hai Tabaahi Meiñ Beda Hamaara
Sahara Lagaa Dhu Zara Ghous E Aazam

Mashaaikh Jahaañ Aaye Bahr E Gadaai
Wo Hai Teri Daulat Saraa Gaus E Aazam

Meri Mushkiloñ Ko Bhi Aasan Kijiye
Ke Haiñ Aap Mushkil Kusha Gaus E Aazam

Wahaañ Sar Jhukaate Haiñ Sab Uñche Uñche
Jahaañ Hai Tera Naqsh E Paa Gaus E Aazam

Qasam Hai Ke Mushkil Ko Mushkil Na Paaya
Kaha Hum Ne Jis Waqt Yaa Gaus E Aazam

Muje Apni Ulfat Meiñ Aisaa Guma De
Na Paaoñ Phir Apna Pataa Gaus E Aazam

Bachaale Gulaamoñ Ko Majbooriyoñ Se
Ke Tu Abd E Qaadir Hai Yaa Gaus E Aazam

Kahe Kis Se Jaakar Hasan Apne Dil Ki
Suney Kaun Tere Siwaa Gaus E Aazam


Related Content

  1. Jo Guzar Nasib Ho Aey Saba Kisi Din Diyaare Hijaaz Mein
  2. Sahar Ka Waqt Hai Masum Kaliya Muskurati Hain  Naat Lyrics
  3. Subhe Baharaan  Naat Lyrics
  4. Roze Ki Deewar Se Rishta Jor Liya  Naat Lyrics
  5. Meh Toh Panj Than Ka Ghulaam Hun (Naat Lyrics)
  6. sallay-ala-pukaro-sarkar-arahe-hain
  7. Sadkhe Me Mustafa Ke Madine Ko Jayeinge  Naat Lyrics
  8. Baat Kar Madine Ki Naat Lyrics
  9. Noor Wala Aya Hai Naat Lyrics
  10. Jo Ho Chuka Hai Jo Hoga Huzoor Jante Hain  Naat Lyrics
  11. Chamka Mahe Noor Ka Hilal   Naat Lyrics
  12. Main Madine Chala  Naat Lyrics
  13. Zamin O Zaman Tumhare Liye (Naat Lyrics)
  14. Baarwein Ka Chaand Aaya Naat Lyrics
  15. Ae Dil Bata Kaisa Laga Mera Raza Mera Raza
  16. Dil Madina Mera Bana Aaqa Naat Lyrics
  17. Manghte He Karam Unka Sadaa (Naat Lyrics)
  18. Khuda Ne Mujhko Diya Maa Teri Duaaon Se  Naat Lyrics
  19. An Nabi Sallo Alaih  Naat Lyrics
  20. Rabbana Ya Rabbana  Naat Lyrics

Leave a comment