Eidon Ki Hai Eid Aayi

Rahmat Khuda ki chayi Eido ki Eid aayi

Pahli bahar aaee Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Milad ki shab aayi Eido ki Eid aayi

Masroor he Khudai Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Teri jhalak ke kurban teri chamak pe kurban

Aaye shamme Mustafai Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Har samt he ujala aaya wo Noor wala

Raushan hui Khudai Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Guncho me phool mahke shaakho pe murg chahke

Bulbul bhi cheh chahaaye Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Mahe Rabiul awwal teri barwi he afzal

Shakle nigar laai Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Sarkar ka wo aana wo buto ka sar jhukana

Kabze me kul Khudayi Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Larza tha kasre kisra Kaba bhi jhuk gaya tha

Muzda diya sunayi Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Hum to bhatak chuke the jurmo se thak chuke the

Hume rahe Haq dikhayi Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Sarkar phir bulalo Gumbad hume dikhado

Tadpaati he judayi Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Sab jehel ko mitaya Haq ka alam uthaaya

Farmaaee rehnumaaee Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Aamad pe keu na jhumey raaho ko unki chumey

Shah ki sawari aaee Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Najjaar khush the sare aaye Nabi humare

Bachcho ne daf bajaaee Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Unpar Durood padhkar unpar Salam padhkar

Kahti he ye Khudayi Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Aamad ki Dhoom daalo ghar koocha sab sajalo

Takdeer jagmagaaee Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Girte huwo ko muzda unka wo pehla sajda

Ummat hai bakhshwaaee Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Aye mufliso gadaao aao sada lagaao

Sab ne muraad paaee Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Tu ne naseeb uncha paaya hai aye haleema

Tu he Nabi ki di Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

shaitaan jal rahe hai Aashiq machal rahe hai

Hum ne khushi manaaee Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Hui sard nare Iran hua kufr saara haira

Shamme ahad jalaaee Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Milaad ki ye shab hai hum sab pe fazle Rab hai

Mehfil jo hai sajaaee Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Phir aayi Eid dedo eidee me deed dedo

Bas lau yahi lagaaee Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Sayyed Milega sadqa Meelad e Mustafa ka

Kar zikr e Mustafaaee Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah


Related Content

  1. Mujhe Dar Pay Phir Bulana  Naat Lyrics
  2. Aamal Nahin Kuch Bhi Yeh Haal Hamara Hai
  3. Jab Say Howa Hey Unka Karam
  4. Aye Madine ke Tajdar Tujhe
  5. Aaj Muhammad Aye Moray Ghar Naat
  6. Ham Dar-E-Aaqa Pay Sar Apna Jhuka Letay Hain   Naat Lyrics
  7. Chamka Mahe Noor Ka Hilal   Naat Lyrics
  8. Banda Milne Ko Kareeb Hazrat E Qadir Gaya Naat Lyrics
  9. Azal Ki Khushboo Ho
  10. Aankhon Mein Bas Geya Hai Madina Huzoor Ka Naat Lyrics
  11. Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai  Naat Lyrics
  12. Kaabe Ke Dar Ke Saamne Maangi Hai Dua Faqat  Naat Lyrics
  13. Faslon Ko Takalluf Hai Hum Se Agar
  14. Jahaan Rauza E Pak E Khairul Wara Hai
  15. Arsh Ka Dulha Aaya Hai Naat
  16. Zikre Aaqa Se Seena Saja Hai Naat Lyrics
  17. Subhe Baharaan  Naat Lyrics
  18. Nabi Ki Naat Ki Mahefil Sajana Hum Na Chhorenge  Naat Lyrics
  19. Haleema Mein Terey Muqadran Ton Sadqay
  20. Dil Dard Se Bismil Ki Tarah Lot Raha Ho Naat Lyrics

Leave a comment