Gunahon Ki Adat Churah Meray Mowla  Naat Lyrics

Gunahon ki adat churah meray Mowla,

mujhay naik insaan bana meray Mowla

Meri saabiqa har khatha meray Mowla,
thu Rehmath sey apni mita meray Mowla

Thu qudrath say apni badal naikyon sey,
har ik meri laghzish khata meray Mowla

mujhay naik insaan bana meray Mowla
Jo Thuj ko jo Teray Nabi ko pasand hai,

mujhay aisa bandhah bana meray Mowla
Thu Masjood mera mey saajid hu Tera,

Thu Malik mey bandha Tera meray Mowla
Thu Matloob mera mey talib hu Tera,

mujhay deyday apni wila meray Mowla
mujhay naik insaan bana meray Mowla

Thu leyga agar adal sey kaam apnay,
mey hun mustahik naar ka meray Mowla

Thujay waastha Teri Rahmat ka Ya Rabb,
jahannam sey mujh ko bacha meray Mowla

Jo Rahmath Teri Shah miley haal ho tho,
tikana hey jannath mera meray Mowla

mujhay naik insaan bana meray Mowla
meri tha qiyamat jo nasley ho Ya Rabb,

ho sab aashiq-e-Mustafah meray Mowla
mujhay bhi dikhaday Thu jalwa Nabi ka

yahi hai meri iltijah meray Mowla
jinon ney kaha hai duaon ka mujh sey,

Thu kar dey sabhi ka bhala meray Mowla
rula Thu mujhay bas gham-e-Mustafa mey,

na duniya keh gham mey rula meray Mowla
na mohtaaj kar Thu jahan mey kisi ka,

mujhay muflisi sey bacha meray Mowla
hai Ka’bay pay nazray Obaiday Raza ki,

ho maqbool har ik dua meray Mowla


Related Content

  1. Meetha Meetha He Mere Muhammad Ka Naam  Naat Lyrics
  2. Nabi Ke Ishq Ne, Jis Ko Hasin Banaaya Hai
  3. Rashke Qamar Hu Range Rukhe Aftaab Hu  Naat Lyrics
  4. Ravi De Kande Mere Data Dera Laya  Naat Lyrics
  5. Noor E Ahmed Ki Ziyaa Hai Maslak E Ahmed Raza  Naat Lyrics
  6. Haajiyon Aao Shahenshah ka Roza Dekho Naat Lyrics
  7. Jo Madina Hum Bhi Jaate To Kuch Aur Baat Hoti (Naat Lyrics)
  8. Dil Se Hazaar Baar Madina Tujhe Salam
  9. Dil Madina Mera Bana Aaqa Naat Lyrics
  10. Ae Maut Thehr Ja, Main Madine Tay Ja Lawan
  11. Huzoor Jante Hain   Naat Lyrics
  12. Rehbar O Taaj E Shariat Hai Aaaj Bhia  Naat Lyrics
  13. Pare Pare Pe Likhkha Hai Aaka Ka Naam  Naat Lyrics
  14. Sab Se Aola Woh Aala Hamara Nabi (Naat Lyrics)
  15. Ay Mujahid-e-nabi Naat Gongunay Jaaa (Naat Lyrics)
  16. Khairat Lene Aagaye Mangte Tumhare Khwaja  Naat Lyrics
  17. Khusravi Achi Lagi Na Sarwari Achi Lagi  Naat Lyrics
  18. Faslon Ko Takalluf Hai Hum Se Agar
  19. Eh Sarware Duniya O Deen  Naat Lyrics
  20. Mustafa E Zaat E Yakta Aap Hain  Naat Lyrics

Leave a comment