Mujhe Apna Bana Lo Tum Khudara  Naat Lyrics

Mujhe apna bana lo Tum Khudara Ya RasoolAllah
Karo lutfo karam ka eik ishara Ya RasoolAllah

Chorus: RasoolAllah, RasoolAllah, RasoolAllah, RasoolAllah,
RasoolAllah, RasoolAllah, RasoolAllah, RasoolAllah,

Na chedo mujhko aada tum ghulaam-e-Shaah-e-Bathaa hoo
Chali aagi nusrat gar pukara Ya RasoolAllah

Chupaao jab ke daaman mai ghulaamo ko sar-e-mahshar
Mile mujko bhi chadar ka kinara Ya RasoolAllah

Tumhi ho qaasim-e-naimat milee tum se ye sab naimat
Tumhaare tukdo par mera guzara Ya RasoolAllah

Ataa ilme ladunee ho mujhe sadqe mai haidar ke
Jihaalat ko ho mujh se ab kanara Ya RasoolAllah

Meri jholi mai sadqa Ghaus ka rak de Huzoor-e-mun
Issi ummeed par daaman pasaara Ya RasoolAllah

Banaa kar saail-e-Taiba meri kismat jagaayi hai
Bulandee par hai Shakir ka sitara Ya RasoolAllah

Karo Maqbool Sunni Dawate Islami ko Aaqa
Kare hai arz ye Shakir tumhara Ya RasoolAllah !


Related Content

  1. Tu Kareen hi Jo Thehra Tu Karam Ke Kiya Thikane (Naat Lyrics)
  2. Jab Zaban Par Muhammad ka nam agaya
  3. Ab To Bas Aik Hi Dhun Hai Naat
  4. Mujh Pe Maula Ka Karam Hai  Naat Lyrics
  5. Barhy jo karky vo
  6. Karahe Hain Teri Sana Khani
  7. Kis Ke Jalwe Ki Jhalak Hai Ye Ujala Kiya Hai  Naat Lyrics
  8. Paigham Saba Layee Hai Yeh Gulzar E Nabi  Naat Lyrics
  9. Ahlan Wa Sahlan Marhaba Lyrics
  10. Chamka Mahe Noor Ka Hilal   Naat Lyrics
  11. Muhammad Nabina   Naat Lyrics
  12. Main Bhi Roze Rakhunga Lyrics
  13. Aa Jaye Bulawa Mujhe Aqa Tere Dar Se
  14. Arsh Ka Dulha Aaya Hai Naat Lyrics
  15. Nazar Ko Bax Do Aisa Asar GARIB NAWAZ  Naat Lyrics
  16. Aaqa Ke Ghulamon Ko Ab Eid Manane Do   Naat Lyrics
  17. Milaad Hai Milaad Hai Sarkaar Ka Milaad Hai  Naat Lyrics
  18. Ay HabeeB E Ahmed E Mujtaba Dil E Mubtala Ka Salam Lo
  19. Hum Ko Bulana Ya Rasulallah
  20. Aj Sik Mitran Di Wadheriye Kyun Dilri Udaas Ghaneri

Leave a comment