Taybah Ki Hai Yaad Aayee Ab Ashk Bahaanay Do

Taybah ki hai yaad aayee ab ashk bahaanay do
Mahboob nay aanaa hai rahoon ko sajaanay do

Mushkil ho agar meyra Taybah main abhii jaanaa
Aey baad – e – sabaa merii aa – hoon ko to jaanay do

Mey teri ziyaarat kay qaabil to naheen maanaa
Yaadoon ko shahaa apnii khaabon main to aanay do

Ashkoon kii larhii ko ab tutaney mat deynaa
Aaqa kay liye muj koh kuch haar bananay do

Jo chaaho sazaa deynaa mehbuub kay darbaano
Ik baar to jaalii ko siinaay say lagaanay do

Mahboob kay qaabil yeh alfaaz kahaan saaim
Ashkoon kii zubaan say ab ik naat sunaanay do

Lagta nahin dil mayra ab in weeraanon mayn
Chota sa ghar mujh ko teba mayn bananay do

Roko na mujhay ab to dar e yaar kay darbaano!
Mahboob ki jaali ko seenay say laganay do


Related Content

  1. Ay Mustafa ke fool dilojaan ya hussain
  2. Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein
  3. Maqsad E Aalam E Hayaat E Nabi
  4. AI SABZE GHUMBADH WALE MANZOOR DUA KARNA
  5. Woh Nabiyon Main Rehmat Laqab Panay Wala
  6. Jhoole Jhoole Pyare Mohammad  Naat Lyrics
  7. Aaqa Meriyan akhiyan madine wich reh gayan lyrics
  8. Dekhte Kya Ho Ahle Safa
  9. Na Kahin Se Door Hein Manzilen  Naat Lyrics
  10. Mujhe Apna Bana Lo Tum Khudara  Naat Lyrics
  11. Rukh Se Parda Ab Apne Hata Do  Naat Lyrics
  12. Aaj Milad e Nabi Hai
  13. Kya Jane Duniya Wale Rutba Mere Madani Ka  Naat Lyrics
  14. Rehbar O Taaj E Shariat Hai Aaaj Bhia  Naat Lyrics
  15. Jashan-e-Amad-e-Rasool ALlah hi Allah (Naat Lyrics)
  16. Meri Ulfat Madine Se Lyrics
  17. AASMA GAR TERE TALWOON KA NAZARA KARTA
  18. Hum Ko Bulana Ya Rasulallah
  19. Aamal Nahin Kuch Bhi Yeh Haal Hamara Hai
  20. Kab Talak Muntazir Hum Rahein Ya Nabi  Naat Lyrics

Leave a comment