Azal Ki Khushboo Ho

Azal Ki Khushboo Ho jismein Pinhaa’n
koi batae tu naam aisa
wo naam-e-Ahmed (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke phool barsein
Bayan Aisa Kalam Aisa
Azal Ki Khushboo

Wohi Hai Qur’an wohi ha furqa’n
wohi hai rab jiska hai sama khaa’n
Farishte pardh pardh ke jhoomte hain
Durood aisa Salam aisa
Azal ki khushboo

Hai deen-e-haq mein jamal-e-yazdaan
hai arsh bhi jispe naaza’n
wohi tu laya hai deen aisa
wohi tu laya nizaam aisa
Azal ki khushboo

wo jis ka saya tu arsh par hai
wo jis ka zaroon ke dil mein ghar hai
wohi jo chamka tu phir na dooba
wohi hai mahe tamam aisa
Azal ki khushboo

nazar be yaqsaa’n ghulam-o-aaqa
buzurgon par tar hai sirf taqwa
koi jahan mein hai deen aisa
kahin hai koi nizaam aisa
Azal ki khushboo

Woh jis andheri gali se guzra
badal diya noor mein andhera
dilon ki dunia badal ke rakhdi
dia dilon ko payam aisa
Azal ki khushboo

Aqeel aisa khalil aisa
jalil aisa jamil aisa
na riffaton mein na azmaton mein
kisi ne paya maqam aisa
Azal ki khushboo

qala’t aisi sa’adat aisi
riya’zat aisi ‘iba’da’t aisi
wo jispe kaabe ko washjd aaya
sujood aisa qayam aisa

Azal ki khush boo ho jismein pinhaa’n
koi batae tu naam aisa
woh naam-e-Ahmed ke phool barsein
bayan aisa kalam aisa
Azal ki khushboo


Related Content

  1. Aaj Milad e Nabi Hai
  2. Eh Sarware Duniya O Deen  Naat Lyrics
  3. Aa Jaye Bulawa Mujhe Aqa Tere Dar Se
  4. AI SABZE GHUMBADH WALE MANZOOR DUA KARNA
  5. Sunte Ho Bekaso Fariyad Ki Gause Aazam  Naat Lyrics
  6. Fida Kr Ishq-e-Nabi Par Jaan  Naat Lyrics
  7. Tere Qadmo Me Aana Mera Kaam Tha
  8. Dardo Aalam Ke Mare
  9. LAZZATE ISHQE NABI DIL ME CHUPAE RAKNA
  10. DIL KI MURAAD PAA?E GHE AAJ NAHEIN TO KAL SAHEE
  11. Har Waqt Tasaw’wur Mein Madine Ki Gali Ho  Naat Lyrics
  12. Kis Ke Jalwe Ki Jhalak Hai Ye Ujala Kiya Hai  Naat Lyrics
  13. Aaj Muhammad Aye Moray Ghar
  14. HAR DESH MAIN GUNJEGA
  15. Madina Sadi Jaan Hai Lyrics
  16. Ae Noor-e-mujjassim
  17. Chal Qalam Ab Hamd E Rabb Maqsood Hai   Naat Lyrics
  18. Zamin O Zaman Tumhare Liye (Naat Lyrics)
  19. TAN SADQE MERA MANN SADQE
  20. Bigdi Bhi Banayenge  Naat Lyrics

Leave a comment