Aaya Ramzan ka Mahina Kafila chala soo-e-Madina lyrics

Aaya Ramzaan ka mahina Khafila chala soo-e-Madina
Mujhe bhi do izn-e-Madina aane ki Sarkare Madina


Mujhe na aaya bulawa kitni hai dil me tamanna
kash Aqa mai bhi dekh leta bahar-e-Ramzaan-e-Madina


Meri qismat ko bhi Khudara Tum sajana
Hasnain ke sadqe me dikhana baar baar Madina


Kahaan jaun kahaan daman pasaroon mai Malik-e-Madina
Aas lagai hamne Tumhare Dar se ae Shahinsha-e-Madina


kaheen aisa na ho seene me dafn karke gham-e-Madina
Mai duniya se chala jaon bin deed ke Madina


Ghamaun ke sailab me dooba jaraha hoon Sultan-e-Madina
LILLAH IMDAD ko aao meri Sarwar-e-Madina


Iss saal zaroor mujh aasi ko Sarkar bulana
Rauda-e-Anwar aur Gumbade Khizra dikhana


Chamka kar meri aankhaun ko jalwa dikha dena
Dekh loon aankh bharke Tum ko Shahe Madina


Duniya ki mohabbat dil se nikal jae Aqa-e-Madina
Rahe chashm-e-nam dil me bas gham-e-Madina


Maana ke nahi qabil hoon jo dekhoon Tumhara Madina
Phir laoon kahaan se wo aamal mai Sarkar-e-Madina


Nahi jaber ke paas koi zar jo dekhe Pyara Madina
Itna to ho Karam khabaun me ise dikhado Madina


Nahi mal o zar to kya hain main gareeb hoon yehi na
mere ishq mujhko le chal tu janibe madina madina.

Aaya Ramzan ka mahina Kafila chala soo-e-Madina lyrics


Related Content

  1. Mujhe Tohfay Mein Mila Ramzan Lyrics
  2. Khak Muj Me Kamal Rakhkha Hai  Naat Lyrics
  3. Aankhen purnoor karu dekh ke chehra unka
  4. Ya Nabi Nazre Karam Farmana Lyrics
  5. Meri Jholi Main Rehte Hain Sada Tukre Muhammad Ke  Naat Lyrics
  6. Aap shamme risalat hain parwaney hum
  7. Dard E Dil Chahiye Chashm E Tar Chahiye
  8. Ajmer ka safar ab mujko ata ho khwaja
  9. Ravi De Kande Mere Data Dera Laya  Naat Lyrics
  10. Tadap Raha Hu Madine Ki Haazri Ke Liye  Naat Lyrics
  11. Hai Kalaam-E-Ilahi Me Shams-O-Duha   Naat Lyrics
  12. Barhy jo karky vo
  13. Madina Saaddi Jaan Ay (Naat Lyrics)
  14. Mein So Jaoo Ya Mustafa Kehte Kehte  Naat Lyrics
  15. Kaba Lyrics
  16. Khairul Bashar Par Lakho Salam  Naat Lyrics
  17. Shahe Madina Taiba Bulalo Shahe Madina Naat Lyrics
  18. Bigri Banaa-o Makki Madani (Naat Lyrics)
  19. Ilahi Madad Kar Madad Ki Ghari   Naat Lyrics
  20. Sarkaar Ke Qadmo Mein  Naat Lyrics

Leave a comment