Ban Kay Kher-ul-Wara Agaey Mustafa Lyrics

Ban kay Kher ul Wara Agaey Mustafa ham gunahgaron kee behteri kayliyay
Ik taraf bakhshishain ik taraf jannatain kesey in’aam hein ummati kayliyay

Chaarsoo rehmaton kee hawain chaleen ho gaee jis sey sari faza dil nasheen
Muskurao sabhi agaey hein nabi gham kay maaro tumhari khushi kayliyay

Halqay halqay jo dil ko suroor aeyen hein bazm main kamle wale zaroor aeye hein
Haath pehlao kashkol lay kar sabhi batt rahe hein karam har kisee kayliyay

Saamnain hon wo gumbad kee haryalian choom loon aap kay rozay kee jalian
Ey mere chara gar kar day muj pey nazar kab sey beychein hoon hazari kayliyay

Daata hujweri laasani mehr-e-ali khwaja hind ul wali baahoo ghaus e jali
Kesey kesey diyay mere mehboob nain yeh nageenain hamain roshni kayliyay

Jis kay lab par raha ummati ummati yaad un kee na bhoolo niazi kabhi
Woh kahain ummati tu bhi keh ya nabi mein hoon hazir teree chakree kayliyay


Related Content

  1. Muhmmad Ruhi Fidaka Naat Lyrics
  2. Kaabe Ke Dar Ke Saamne Maangi Hai Dua Faqat  Naat Lyrics
  3. Baqi Sabey Galan Chutiyan Ney Sariyan Lyrics
  4. Hum Ko Bulana Ya Rasulallah
  5. Main Nazar Karun Jaan O Jiigar  Naat Lyrics
  6. Kyunkar Na Merey Dil Main Hu Ulfat Rasool Ki
  7. Zameen Maili Nahi Hoti Zaman Maila Nahi Hota (Naat Lyrics)
  8. Noor Wala Aya Hai  Naat Lyrics
  9. Ab Kahan Jaon Tarap Ke Lyrics
  10. Shukr E Khuda Ki Aaj Ghari Us Safar Ki Hai  Naat Lyrics
  11. TAN SADQE MERA MANN SADQE
  12. Aankhein Ro Ro Ke Sujane Wale Naat Lyrics
  13. Al Nabi Sallu Alai
  14. Allah Ke Huzoor Me Sar Ko Jhukaa Ke Dekh
  15. Main Muddat Se Is Aas Par Ji Rahi Hoon  Naat Lyrics
  16. Ae Mowla Ik Baar Dikhadey Jalwa Kamli Waley Ka
  17. Kharab Hal Kiya Dil Ko Pur Malal Kiya  Naat Lyrics
  18. Ae Ishq e Nabi Meray Dil Mein Bhi Sama Jana
  19. Hum Ko Sarkar Madine Me Bulaana Hoga  Naat Lyrics
  20. Meh Toh Panj Than Ka Ghulaam Hun (Naat Lyrics)

Leave a comment