Aagae Mustafa Ki Sawaari

Khaliq ney apney Nuur ka, Jalwa dikha diyaa
Sab Nuur ko Mila kay Muhammed (S.A.W.W) bana diya

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Dey rahey hain farishtey (A.S) salaami
Tum duruudo ki maala banaa loo

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Apney mangto ko wo paaltey hain
Wo bhala kis ko kab taaltey hain

Sadqa Hasnain (R.A) o Ghausul Waraa (R.A) ka
Ya Nabi (S.A.W.W) meri jholi may daalo

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Ker kay Naato sey her so charaaga
Youu manaaey gay jashney bahaara

Aashiqo Aamad-e-Mustafa (S.A.W.W) hay
Deep Khushiyoo kay her suu jala lo

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Waqt chamkey ga aik din hamaarey
Dekh lain gay wo dilkash nazaarey

Aap (S.A.W.W) ko jo bhi sab sey hain pyaarey
Un (R.A) kay sadqey may ham ko bula lo

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Jin kay haatho may hay Un (S.A.W.W) ka daaman
Naam-e-Ahmad (S.A.W.W) hay jis dil ki dharkan

Jo hay pehchaan hum aashiqo kee
Jhuum ker Un (S.A.W.W) ka naara laga lo

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Puuray ho jaeingay un kay armaan
Ker rahey hain Wo bakhshish ka samaan

Jashne Milaad (S.A.W.W) ki barkato sey
Apney Qalbo Nazer Jag maga lo

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Midhat-e-Mustafa (S.A.W.W) hee kay sadqey
Hay Moin apney sab kaam bantey

Her ghari zikr ho Mustafa (S.A.W.W) ka
Iss ko apna wazeefa bana lo

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Dey rahey hain farishtey salaami
Tum duruudo ki maala banaa loo

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo


Related Content

  1. Maine Rukh Kar Liya Madine Ka
  2. Har Nazar Kamp Uthegi Mehshar Ke Din   Naat Lyrics
  3. Qurban Tumpe Meri Jaan
  4. Qaseeda E Mearaj  Naat Lyrics
  5. Hum Ko Sarkar Madine Me Bulaana Hoga  Naat Lyrics
  6. Lutf Unka Aam Ho Hi Jayega  Naat Lyrics
  7. BALAGHAL ULA BE KAMALEHI SALLU ALAIHE WALEHI
  8. Main Bhi Roze Rakhunga Lyrics
  9. Main Muddat Se Is Aas Par Ji Rahi Hoon  Naat Lyrics
  10. Kya Bayaan Azmatein Hon Teri Shaha
  11. Madinah Deykhney Ki Aarazu Hai Meray Seenay Mein (Naat Lyrics)
  12. Kya Mehakte Hain Mahekne Wale
  13. Meray Rub Kahan Par Naheeh Hai Tu
  14. Baqi Sabey Galan Chutiyan Ney Sariyan Lyrics
  15. Hamaray Maula Hamaray Aaqa Imam-e-Azam Abu Hanifa
  16. Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada   Naat Lyrics
  17. Lo Madine Ki Tajjali Se Lagaye Huwe Hain  Naat Lyrics
  18. Muhammad Mazhar E Kamil Hain Haq Ki Shan E Izzat Ka   Naat Lyrics
  19. Baabe Haram Khula Hai Chati Ki Bahar Hai Lyrics
  20. Na Aasmaan Ko Yun Sar Kashida Hona Tha  Naat Lyrics

Leave a comment