Aey Saba Mustafa Se Keh Dena

Aey Sabaa Mustafa se Keh Dena

Gum ke mare salaam kehte hain

Yaad karte he aap ko shaam or sahar

Besahaare salaam kehte hain

Allah Allah, Huzoor ki Baatein

Marhabaa rang or Noor ki Baatein

Chaand jinki balaaye letaa hai

Or Sitaare salaam kehte hain

Zaaire Kaaba tu madine main

Mere Aaqa se itna kehdena

Pyaare Aaqa Rasool Sunlijiye

Gum ke maare salaam kehte hain

Zikr tha aakhri maheene ka

Tazkira chir gayaa Madine ka

Haajio Mustafa se Kehdena

Gum ke maare salaam kehte hain

Aey payaami meri Qasam he tujhe

Arz karna Rasool-e Akram se

Qalb-e Mutrib ki he Huzoor tarap

Or saare salaam kehte hain

Subz Gumbad ka aankh me manzar

Or tasawwur me Aap ka mimbar

Saamne jaaliyan hain Rauze ki

Aajzi se salaam kehte hain

Allah Allah, Huzoor ke Gaisu

Bhini Bhini mehekthi wo khusbu

Jinse ma’mur fiza harsu

Wo nazaare salaam kehte hain

Aey Khuda ke Habib Pyaare Rasool

Ye hamaara salaam keejye Qabool

Aaj mehfil me jitney haazir hain

Milke saare salaam kehte hain


Related Content

  1. Mustafa E Zaat E Yakta Aap Hain  Naat Lyrics
  2. Aakhri roze hain dil ghamnak muztar jaan hai
  3. Lab Pe Aati Hai Dua Banke Tamanna Meri  Naat Lyrics
  4. Salle Ala Nabi Ye Na Sale Ala Mohammadin  Naat Lyrics
  5. Dil Pareshan Hai Kya Hona Hai  Naat Lyrics
  6. Hazir Hain Tere Darbar Mein Hum
  7. Main Aasi Hoon Magar Tu Hai Gaffar Ya Allah  Naat Lyrics
  8. Jis Nay Madinay Jana Kar Lo Tayarian  Naat Lyrics
  9. Aa Gaye Aa Gaye Mustafa Aa Gaye
  10. Roze Ki Deewar Se Rishta Jor Liya  Naat Lyrics
  11. Rehmat Baras Rahi Hai Muhammad Ke Shaher Mein  Naat Lyrics
  12. Mujhe Dar Pay Phir Bulana  Naat Lyrics
  13. Chamak Tujh Say Paatay Hain
  14. Aadha Idhar Aadha Udhar
  15. Aankhein Ro Ro Ke Sujane Wale Naat Lyrics
  16. Aaya Ramzan ka Mahina Kafila chala soo-e-Madina lyrics
  17. TARON MEIN ROSHNI
  18. Hum Ko Sarkar Madine Me Bulaana Hoga  Naat Lyrics
  19. Ay Mujahid-e-nabi Naat Gongunay Jaaa (Naat Lyrics)
  20. Na Ho Aram Jis Bimar Ko Sare Zamane Se  Naat Lyrics

Leave a comment