Milaad Hai Milaad Hai Sarkaar Ka Milaad Hai  Naat Lyrics

Milaad Hai Milaad Hai Sarkaar Ka Milaad Hai
Aao Milaad Manayein Aao Milaad Manayein

Konain Mein Hai Shohrat Milaad-E-Mustafa Ki
Bajti Hai Jug Mein Nobat Milaad-E-Mustafa Ki
Milaad Hai Milaad Hai Sarkaar Ka Milaad Hai
Aao Milaad Manayein Aao Milaad Manayein

Maah-E-Rabi-Ul-Awwal Mauqa Hai Iss Khushi Ka
Behtar Ho Iss Mein Kasrat Milaad-E-Mustafa Ki
Milaad Hai Milaad Hai Sarkaar Ka Milaad Hai
Aao Milaad Manayein Aao Milaad Manayein

Farsh-E-Zameen Se Leykar Arsh-E-A’zeem Tak Hai
Ye Saari Khair-O-Barkat Milaad-E-Mustafa Ki
Milaad Hai Milaad Hai Sarkaar Ka Milaad Hai
Aao Milaad Manayein Aao Milaad Manayein

Iblis Ke Jigar Per Chaltay Issiyare Iss Per Giraan Hai
Shirkat Milaad-E-Mustafa Ki
Milaad Hai Milaad Hai Sarkaar Ka Milaad Hai
Aao Milaad Manayein Aao Milaad Manayein

Ta’zeem Ko Uthay Ab Yaaran-E-Anjum Sab
Aayei Qareeb Sa’at Milaad-E-Mustafa Ki
Milaad Hai Milaad Hai Sarkaar Ka Milaad Hai
Aao Milaad Manayein Aao Milaad Manayein

Shukr-E-Khuda Ada Kar Dil Se Habib Har Dum
Jisnay Ye Dei Hai Ne’mat Milaad-E-Mustafa Ki
Milaad Hai Milaad Hai Sarkaar Ka Milaad Hai
Aao Milaad Manayein Aao Milaad Manayein


Related Content

  1. Un Ka Jo Ghulaam Hogaye (Naat Lyrics)
  2. Kardo Allah Karam Ay Mere Shahe Umam
  3. Woh Rasool, Mera Rasool Hai
  4. Mere Aaka Mere Aaka Naat Lyrics
  5. Ye Zakm He Tayba Ka Ye Sub Ko Nahein Milta
  6. Ahmad Raza Ka Taza Gulistan Hai Aaj Bhi
  7. Jo Ho Chuka Hai Jo Hoga Huzoor Jante Hain  Naat Lyrics
  8. Madina Sadi Jaan Hai Lyrics
  9. May So Jaoo Ya Mustafa Kehtey Kehtey (Naat Lyrics)
  10. Aaka Ko Pukar Bande Aaka Pukar
  11. Kitna Ala Rutba Hai Mere Ghouse Azam Ka  Naat Lyrics
  12. Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein  Naat Lyrics
  13. TAN SADQE MERA MANN SADQE
  14. Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada   Naat Lyrics
  15. Hum Gunahgaaron Ka Aye Rab Ke Rasool
  16. Allah Ho Allah Ho Dum Ba Dum Allah Ho (Naat Lyrics)
  17. Aaqa Ka Milad Aaya
  18. Hum Dare Yaar Pe Dil Apna Jhuka Lete Hai  Naat Lyrics
  19. Dil Madina Mera Bana Aaqa Naat Lyrics
  20. Banke Sail Madine Noo Lyrics

Leave a comment