Sahar Ka Waqt Hai Masum Kaliya Muskurati Hain  Naat Lyrics

Sahar ka waqt hai masum kaliya muskurati hain

Hawae kher makdam ke tarane gungunati hain

Abhi jibril utare bhi na the kabe ke mimbar se

Ke itne me sada aai ye abdullah ke dhar se

Jashn manao aae hain sab nabiyo ke sultaan

Huro malaik jinno basar sab karte hain ailan

Pukaro marhaba ya mustafa (saw) marhaba ya mustafa (saw)

Pukaro marhaba ya mustafa (saw) marhaba ya mustafa (saw)

Gulsan mai phool mahke dali dali bhi lahake

Unki aamad ka sunkar bulbul bhi chaman mai chahke

Unka jasn mana kar karlo bakhshish ka saman

Jasn manao aae hai sab……………………………………………….

He noor paikar aae rahmat ke badal chhae

Dukhiya ke liye wo sayae rahmat bankar aae

Unke aane se aai har chahre par muskan

Jasn manao aae hai sab………………………………………………….

Nara amad ka lagao zando se dharko sajao

Imaan ka hai ye takaza sab geet nabi ke gao

Ye wo geet hai jisase khud khush hota hai rahmaan

Jasn manao aae hai sab………………………………………………….

Hai bara rabiul awwal dareasl mai id hamari

Jasne milad ki dhoome ta-hasr rahegi jari

aisa jasn taybah mai ye dil mai hai armaan

Jasn manao aae hai sab………………………………………………….

Kherat rukhe roshan ki sab chand sitaro mai hai

Aaka ka jasn manana kurban ke paro me hai

Parhkar dekhlo aala hazarat ka kanzul imaan

Jasn manao aae hai sab………………………………………………….

Hai hamape ‘muin’ musalasal aaka ki karam nawazi

Nato ke phool bikhero rab ho haega razi

Unki sanakhwani karna to hak ki hai pehachan

Jasn manao aae hai sab………………………………………………….


Related Content

  1. Fat’he Baabe Nubuwwat Pe Bayhad Durood
  2. Mujhe Dar Pay Phir Bulana  Naat Lyrics
  3. Bheek ‘Ata Ae Nabi Muhatasham Ho
  4. Ho Karam Sadqey Mein Is Raat Ke Aye Rab E Azeem
  5. Ya Rabb Tere Mahboob Ka Jalwa Nazar Aaye (Naat Lyrics)
  6. Ahlan Wa Sahlan Marhaba Lyrics
  7. Sun Lo Khuda Kay Wastay Apnay Gada Ki Arz  Naat Lyrics
  8. Kya Jane Duniya Wale Rutba Mere Madani Ka  Naat Lyrics
  9. Raate Bhi Madine Kee Baate Bhi Madine Kee  Naat Lyrics
  10. Jo Madina Hum Bhi Jaate To Kuch Aur Baat Hoti (Naat Lyrics)
  11. Aaqa Ke Ghulamo Ko Ab Eid Manane Do
  12. Bulalo Phir Mujhay Ae Shah-e-Behrobar
  13. Tere Qadmo Me Aana Mera Kaam Tha
  14. Chalo Diyaar-E-Nabi Ki Jaanib
  15. Jashn Aamade Rasool
  16. Sayyed Ne Karbala Main Waade Nibha Diye Hain
  17. Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada   Naat Lyrics
  18. Habib-e-Khuda Ka Nazaara Karoon Mein   Naat Lyrics
  19. Man Kunto Maulaa  Naat Lyrics
  20. labbaik_labbaik_Allahumma_labbaik_naat_lyrics

Leave a comment