Maine Rukh Kar Liya Madine Ka

Maine Rukh Kar Liya Madine Ka
Kya Bigaarey Koi Safiney Ka

Chashmey Rehmat Paree Hai Mujh Par Bhi
Lutf Aayega Ab To Jeeney Ka

Apni Ulfat Ka Jaam Do Mujhko
Mast Kar Do Mujhey Madiney Ka

Jaanib E Naar Mey Na Jaaoonga
Mainey Rukh Kar Liya Madiney Ka

Aakhri Waqt Dafan Honey Ko
Deydo Tukra Mujhey Madiney Ka

Keyse Kehdoon Ke Be Sahaara Hoon
Mujh Ko Aaqa Milaa Madiney Ka

Deydo Taibah Ki Haazri Ka Sharaf
Meyra Maskan Banaa Madiney Ka

Abrey Rehmat Ko Ab Barasney Do
Daag Dhul Jaaye Merey Seeney Ka

Shakir E Bey Nawaa Ko Bhi Aaqa
Phir Sey Mehmaan Banaa Madiney Ka

Khwaaja E Khwaajgaan Ke Sadqey Mey
Main Musaafir Banaa Madiney Ka

Ghaus O Khwaaja Raza O Ibn E Raza
Naam Khuld E Bareen Ke Zeeney Ka

Hai Yehi Wird E Shakir E Razvi
Mainey Rukh Kar Liya Madiney Ka


Related Content

  1. Pir Mere Baghdaadi Ghaus Ul Anaam  Naat Lyrics
  2. Huzoor Jante Hain   Naat Lyrics
  3. Konain De Wali Da Darbar Bara Sohna  Naat Lyrics
  4. Aaj Milad e Nabi Hai
  5. Ban Kay Kher-ul-Wara Agaey Mustafa Lyrics
  6. Sunehri Jalion Ko Nazar Aane
  7. Eh Sarware Duniya O Deen  Naat Lyrics
  8. Aey Mere Mola Mola Mola
  9. Kya Jane Duniya Wale Rutba Mere Madani Ka  Naat Lyrics
  10. HAR DESH MAIN GUNJEGA
  11. Muje Mere Aaka Bulate Rahenge  Naat Lyrics
  12. Jahan Roza E Pak Khreulwara Hai
  13. Sayyed Ne Karbala Main Waade Nibha Diye Hain
  14. Zindagi Hay Nabi Ki Nabi Ke Liye Naat Lyrics
  15. Aadha Idhar Aadha Udhar
  16. Baat Kar Madine Ki Naat Lyrics
  17. Noor Wala Aya Hai  Naat Lyrics
  18. Allah Ke Huzoor Me Sar Ko Jhukaa Ke Dekh
  19. Hum Ko Sarkar Madine Me Bulaana Hoga  Naat Lyrics
  20. Woh Rasool Mera Rasool Hai (Naat Lyrics)

Leave a comment