Aagae Mustafa Ki Sawaari

Khaliq ney apney Nuur ka, Jalwa dikha diyaa
Sab Nuur ko Mila kay Muhammed (S.A.W.W) bana diya

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Dey rahey hain farishtey (A.S) salaami
Tum duruudo ki maala banaa loo

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Apney mangto ko wo paaltey hain
Wo bhala kis ko kab taaltey hain

Sadqa Hasnain (R.A) o Ghausul Waraa (R.A) ka
Ya Nabi (S.A.W.W) meri jholi may daalo

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Ker kay Naato sey her so charaaga
Youu manaaey gay jashney bahaara

Aashiqo Aamad-e-Mustafa (S.A.W.W) hay
Deep Khushiyoo kay her suu jala lo

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Waqt chamkey ga aik din hamaarey
Dekh lain gay wo dilkash nazaarey

Aap (S.A.W.W) ko jo bhi sab sey hain pyaarey
Un (R.A) kay sadqey may ham ko bula lo

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Jin kay haatho may hay Un (S.A.W.W) ka daaman
Naam-e-Ahmad (S.A.W.W) hay jis dil ki dharkan

Jo hay pehchaan hum aashiqo kee
Jhuum ker Un (S.A.W.W) ka naara laga lo

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Puuray ho jaeingay un kay armaan
Ker rahey hain Wo bakhshish ka samaan

Jashne Milaad (S.A.W.W) ki barkato sey
Apney Qalbo Nazer Jag maga lo

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Midhat-e-Mustafa (S.A.W.W) hee kay sadqey
Hay Moin apney sab kaam bantey

Her ghari zikr ho Mustafa (S.A.W.W) ka
Iss ko apna wazeefa bana lo

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Dey rahey hain farishtey salaami
Tum duruudo ki maala banaa loo

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo


Related Content

  1. AAJ DULHA BANA SHAHE AHMAD RAZA
  2. BAN KE NOOR E KHUDA MUSTAFA AGAYE
  3. Hum Ne Marny Ki Madiny men dua
  4. Kis Ke Jalwe Ki Jhalak Hai Ye Ujala Kiya Hai  Naat Lyrics
  5. Zaban Pey Sirf Hai Dawa e Misal Koi Nahi
  6. Ham Faqeeron Ko Madeene
  7. Eid-E-Nabvi Ka Zamana Aa Gaya  Naat Lyrics
  8. Mere Sarkar Sunte Hai  Naat Lyrics
  9. Aaqa Ke Ghulamo Ko Ab Eid Manane Do
  10. Mera Dil Madina Bana De Ya Rasoolallah  Naat Lyrics
  11. Ab To Bas Ek Hi Dhun Hai Ke Madina Dekhoon
  12. DIL KI MURAAD PAA?E GHE AAJ NAHEIN TO KAL SAHEE
  13. Kya Hi Zauk Afza Shafaat Hain Tumhari Wah Wah  Naat Lyrics
  14. Aa Jaye Bulawa Mujhe Aqa Tere Dar Se
  15. An Nabi Sallo Alaih – Salawathullah Alaih
  16. Bas Apne Dil Maen Madine ki
  17. Har Waqt Tasaw’wur Mein Madine Ki Gali Ho  Naat Lyrics
  18. Apni Lagan Laga De
  19. Ilahi Madad Kar Madad Ki Ghari   Naat Lyrics
  20. Baravein Ka Chand Aya, Baravein Ka Chand Aya (Naat Lyrics)

Leave a comment