Aaj milaad-e-Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hai, kya suhana noor hai,
Aa gaya woh noor wala, jiska saara noor hai.
Aankh walo aao dekho, mah-e-taiba ki ziya.
Asmaan ke chand mein to, pheekha peekha noor hai.
Tu na hota to na hota do jahaan ka intezaam.
Tu zameen ka noor hai, tu asmaan ka noor hai.
Jiss ne jo kuch noor paya, sab teri Sarkar se.
Toor ki Sarkar ka tu sab se pehla noor hai.
Teri nasl-e-paak mein hai bacha bacha noor ka.
Tu ‘ayn-e-noor, tera sab gharana noor ka.
Main gadda tu badshah, bhar de pyala noor ka.
Noor din duna tera, de daal sadqa noor ka.
Jis taraf wo uth gayi, alaam munnawar ho gaye.
Main teri ankhon ke sadqe, inn mein kitna noor hai.
Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke noor mein hai Zaat-e-baari jalwargar.
Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka noor hi kahye khuda ka noor hai.
Aaj milaad-e-Nabi hai, kya suhana noor hai,
Aa gaya woh noor wala, jiska saara noor hai.
Aaj Milad e Nabi Hai
Related Content
- Qasidah Burdah Sharif- Qasidah Burdah Sharif Lyrics
- AI SABZE GHUMBADH WALE MANZOOR DUA KARNA
- Rifaete Subhe Saadat Zindabad Naat Lyrics
- Ya Habib e Ahmed Mujtaba Dil e Mubtala Ka Salam Lo
- Hamaray Maula Hamaray Aaqa Imam-e-Azam Abu Hanifa
- Sab Se Aola Woh Aala Hamara Nabi (Naat Lyrics)
- Baarwein Ka Chaand Aaya Naat Lyrics
- Aamad E Mustafa Se Hai Phoola Phala Chaman Chaman
- Mujhe Apna Bana Lo Tum Khudara Naat Lyrics
- Aakhri roze hain dil ghamnak muztar jaan hai
- Kis Ke Jalwe Ki Jhalak Hai Ye Ujala Kiya Hai Naat Lyrics
- Khuda Ka Zikr Kare Naat Lyrics
- Raah Pur Khaar Hai Kya Hona Hai Naat Lyrics
- Hum Apni Hasrat E Dil Ko Mitane Aaye Hai Naat Lyrics
- Aaqa Le Lo Salaam Ab Hamara
- TERE HOTE JANAM LIYA HOTA
- Aey Mere Mola Mola Mola
- Naatein Sarkar Ki Parta Hoon Mein
- Piraane Pir, Meri Bigri Banaao Naat Lyrics
- Delhi Rajasthan Tumhara Ya Khwaja Naat Lyrics