Haajiyon Aao Shahenshah ka Roza Dekho Naat Lyrics

Hajiyo Aao Shahenshah ka Roza Dekho
Kaba to dekh chuke Kabe ka Kaba dekhoRukn e Shami se miti wah’shate shame ghurbat
Ab Madine ko chalo subhe dil aaraa dekhoAabe Zam-Zam to piyaa khub bujha-e piyase
Aao jude Shahe Kowsar ka bi darya dekhoZayre Mizaab mile khoob Karamke cheente
Abre Rahmat ka yaha zowr barasnaa dekho

Dhum dekhi hai dare kaba pe betaabo ki
unke mushtako me hasrat ka tadapna dekhomisle parwana phiri karte the jis sham’a ke gird
apni us sham’a ko parwana yaha ka dekhoKhub ankho se lagaya he Gilaafe Kaba
Qasre Mahbub ke parde ka bhi jalwa dekho

Wan mutiyo ka jigar khauf se pani paya
yan siyahkaro ka daman pe machalna dekho

Awwali khana e haq ki to ziyaye dekhi
aakhri bait e nabi ka bhi tajalla dekho

aymane tur ka tha rukne yamani me farog
shola e tur yaha anjuman-ara dekho

mehre madar ka maza deti hai aagosh e hateem
jin pe maa bap fida yan karam unka dekho

Arz E Haajat Me Raha Ka’aba Kafeel E Injaah
Aao Ab Dad-Rasi E Shahe Taibah Dekho

Dho chuka zulmate dil bosa-e Sunge Aswad
Khaak bosi-e-Madina ka bhi Rutba dekho

Kar chuki rif’ate kaba pe nazar par-vaze
topi ab tham ke khaq e dar e wala dekho

be-niyazi se waha kapti payi ta’at
joshe rehmat pe yaha naz gunah ka dekho

Juma E Makka Tha Ird Ahle Ibadat Ke Liye
Mujrimo! Aao Yaha Ird E Doshamba Dekho

Multazim se to gale lag ke nikale armaan
adab o shouq ka yaha baham ulajhna dekho

Khoob mas’a me b-ummide safa daud liye
rahe janan ki safaka bhi tamasha dekho

Raqs E Bismil Ki Bahare To Mina Me Dekhi
Dil E Khu-Naba Fisha Ka Bhi Tadapna DekhoZinate Kaba me tha lakh arooso ka banaw
Jalwa farma yaha kownain ka doolha dekhoGowr se sun to Raza Kaaba se aati he sadaa
Meri ankho se mere Piyare ka Roza dekho


Related Content

  1. Rab Ne Diya Hai Unko  Naat Lyrics
  2. Jab Gumbad-E-Khazra Pe Wo Pehli Nazar Gayi
  3. Baarwein Ka Chaand Aaya Lyrics
  4. Haleema Mein Terey Muqadran Ton Sadqay
  5. Fariyad Gause Aazam  Naat Lyrics
  6. Mai Toh Miladi Hu  Naat Lyrics
  7. Meray Aqa Meray Lajpaal Madinay Waley (Naat Lyrics)
  8. Lab Pe Naat Paak Ka Naghma Kal Bhi Ta
  9. Kardo Allah Karam Ay Mere Shahe Umam
  10. Tadap Raha Hu Madine Ki Haazri Ke Liye  Naat Lyrics
  11. Rok Leti Hai Aapki Nisbat  Naat Lyrics
  12. Woh Nabiyon Main Rehmat Laqab Panay Wala
  13. Ya Habib e Ahmed Mujtaba Dil e Mubtala Ka Salam Lo
  14. Fat’he Baabe Nubuwwat Pe Bayhad Durood
  15. Jannat Mein Leke Jayegi Chahat Rasul Ki  Naat Lyrics
  16. Unka Mangta Hu Jo Mangta Nahi Hone Dete Naat Lyrics
  17. Ajmer ka safar ab mujko ata ho khwaja
  18. Dekar Khuda Ko Jaan Ki Kimat Naat Lyrics
  19. Sar Ta Ba-qadam Hai Tan E Sultane Zaman Phool  Naat Lyrics
  20. Muhammad Nabina   Naat Lyrics

Leave a comment