Munawwar Meri Aankhon Ko Mere Shamsud Duhaa Kar Dein  Naat Lyrics

Jahaan baani ataa kardein bhari jannat hibah kar dein
Nabi mukhtaar-e-kul hein jis ko jo chaahe ataa kar dein

Jahaan mein unki chalti hai woh dum mai kya se kya kar dein
Zameen ko aasmaan kar dein suraiyyaa ko saraa kar dein

Fiza mein urne waale yoon na itraa`e nida kar dein
Woh jab chaahe jis-se chaahe us-se farmaa rawaa kar dein

Meri mushkil ko yoon aasaan mere mushkil kushaa kar dein
Har ik mauje balaa ko mere maula naa khuda kar dein

Ataa ho bekhudi mujh ko khudi meri hawa kar dein
Mujhe yoon apni ulfat mein mere maula fanaa kar dein

Jahaan mein aam paighaam-e-shahe ahmad raza kar dein
Palat kar peechhe dekhen phir se tajdeed-e-wafaa kar dein

Nabi se jo ho beygaana usse dil se juda kar dein
Pidar maadar biraadar maal-o-jaan un par fidaa kar dein

Munawwar meri aankhon ko mere shamsud duhaa kar dein
Ghamon ki dhoop mein wo saaya-e-zulfe dotaa kar dein

Kisi ko woh hansaate hein kisi ko woh rulaate hein
Woh yoon hi aazmaate hein woh ab to faislah kar dein

Gile taybah mai mal jaaoon gulon mai mil ke khil jaaoon
Hayaate jaawidaani se mujhe yoon aashnaa kar dein

Unhein manzoor hai jab tak yeh daure aazmaaish hai
Nah chaahein to abhi woh khatm daur-e-ibtilaa kar dein

Sa`ge aawaara-e-sehraa se uktaa si ga`ee duniya
Bachaao ab zamaane ka sagaan-e-mustafa kar dein

Mujhe kya fiqr ho akhtar mere yaawar hai woh yaawaar
Balaaon ko jo meri khud giraftaare balaa kar dein


Related Content

  1. Aap shamme risalat hain parwaney hum
  2. Aseeron Ke Mushkil Kusha Ghous e Azam
  3. Sakhi Piya Ko Jo Main Na Dekhon (Naat Lyrics)
  4. Nabiyo Ke Sardar Aae  Naat Lyrics
  5. Ajmer ka safar ab mujko ata ho khwaja
  6. Sayyed Ne Karbala Main Waade Nibha Diye Hain
  7. OWAISION MEIN BAITH JA BILALIYON MEIN BAITH JA
  8. AA GAYI MUSTAFA KI SAWARI
  9. Har Waqt Tasaw’wur Mein Madine Ki Gali Ho  Naat Lyrics
  10. Mujhe bhi MADINAY bulaa Mayray Mowla
  11. Madine ka safar hai aur main namdeda namdeda
  12. Jalwa Hai Noor Hai Ke Sarapa Raza Ka Hai  Naat Lyrics
  13. Ab Kahan Jaon Tarap Ke Lyrics
  14. Banke Sail Madine Noo Lyrics
  15. Karam Ke Badal Baras Rahe Hain  Naat Lyrics
  16. Kaak Sooraj Se Andehro Ka Izalah Hoga (Naat Lyrics)
  17. Tumhi Arsh Say Farsh Par Janay Walay (Naat Lyrics)
  18. Nabi Nabi Nabi Nabi  Naat Lyrics
  19. Hota agar zameen par saya Rasool ka
  20. aaka ko pukar bande aaka pukar

Leave a comment