Ab Bula Lijiye Na Madina Lyrics

Ab bula lijiye na Madina
Aa raha hai ye hajj ka Mahina
Dil Mera toot jaae kahin na
Al-Madad Taajdare Madina

Mujhko Aaqa Madine bulalo
Hasratein Dil ki saari nikalo
Ghaus-e-Aazam ka sadqa nibhalo
Ab to kehdo Mujhe chal Madina

Aansuon ki ladi ban gayi ho
Aur aanhon se phat’ta ho sina
Wirde lab ho Madina Madina
Jab chale Soo-e-Tayba Safina

Aansuon ki jhadi lag gayi hai
Yaad Aaqa ki tadpa rahi hai
Ispe deewanagi chha gayi hai
Yaad aaya hai isko Madina

Dil se ulfat jahan ki nikalo
Is tabahi se Maula bacha lo
Mujhko deewana Apna banalo
Mera seena bana do Madina

Jab Madine mein ho apni aamad
Jab mein dekhun Tera Sabz gumbad
Hichkiyan bandh kar ro-uun behad
Kaash aa jaye aesa Karina

Hai Tamanna-e-Attar Ya Rabb
Unke jalwon mein yun Maut aaye
Jhum kar jab gire Mera lasha
Tham lein badh ke shahe Madina


Related Content

  1. BALAGHAL ULA BE KAMALEHI SALLU ALAIHE WALEHI
  2. Kaba Lyrics
  3. Dil Main Ishq E Nabi Ki Ho Aisi Lagan  Naat Lyrics
  4. Sayyed Ne Karbala Main Waade Nibha Diye Hain
  5. Apni Rehmat Ke Sumandar Mein Utar Jaane De Naat Lyrics
  6. Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad  Naat Lyrics
  7. Soona jungle raat andheri chaye hai
  8. TARON MEIN ROSHNI
  9. Ab Kahan Jaon Tarap Ke Lyrics
  10. Nabi Ki Naat Ki Mahefil Sajana Hum Na Chhorenge  Naat Lyrics
  11. Ya Nabi Ya Nabi
  12. Kaabay Ki Ronaq Kaabay Ka Manzar
  13. Noor Wala Aya Hai  Naat Lyrics
  14. Hai Kalaam-E-Ilahi Me Shams-O-Duha   Naat Lyrics
  15. Ya Rab Hai Bakhsh Dena 
  16. Maah E Rabi Ul Awwal Aaya  Naat Lyrics
  17. Lab Pe Aati Hai Dua Banke Tamanna Meri  Naat Lyrics
  18. Jo Guzar Nasib Ho Aey Saba Kisi Din Diyaare Hijaaz Mein
  19. Yeh Sab Tumahara Karam Hai Aqa
  20. Karam Karam Mola

Leave a comment