Bheek ‘Ata Ae Nabi Muhatasham Ho

Bheek ‘ata ae Nabi Muhatasham ho

Mere aaqa nigah e karam ho

Deed ka hun talab gaar aaqa

hun agar che gunah gaar aaqa

ik jhalak apni sarkar aaqa

ab dikha do na ik baar aaqa

is gunah gaar par bhi karam ho

mere aaqa nigahe karam ho

Hai yaqeen ‘arz meri suno ge

laaj Lajpaal meri rakho ge

rahmatein khaas apni karo ge

aaj daman mera bhi bharo ge

ya Nabi taajdaar e haram ho

mere aaqa nigah e karam ho

Hai tamanna meri mere dilbar

dekh lun kash har saal aa kar

teri masjid ke mehraab o minbar

aur roze ka pur kaif manzar

phir bayan haal ka chashm e nam ho

mere aaqa nigah e karam ho

Choot jaye gunahon ki aadat

rab ki dil se karoon mein ibadat

aisi kar de tu nazr e inayat

bas tere gham main maah e risalat

dil tarapta rahe aankh nam ho

Yaad aata hai mujh ko woh manzar

jab chala tha madine se dilbar

muztarib qalb tha aankh thi tar

us ghari ‘arz ye thi zabaan par

baar baar aaoon aisa karam ho

mere aaqa nigah e karam ho

Arz karta ‘obaid e raza hai

tere dur ka jo adna gada hai

mushkilon mein shaha ye ghira hai

tujh se imdad yeh chahta hai

door is ka hur ik runj o ghum ho

mere aaqa nigah e karam ho


Related Content

  1. Meeran Waliyon Ke Imam De Do Panjtan Ke Naam (Manqabat)  Naat Lyrics
  2. Aya Na Hoga Is Tarha, Husn O Shabab Ret Par
  3. Dam Ba Dam Allah Ho Allah Ho (Hamd)  Naat Lyrics
  4. Kushiyo Ki Bahaare Laaya Ramzan Mubarak Aaya  Naat Lyrics
  5. Apne Damane Shafa’at Mein Chhupaye Rakhna Naat Lyrics
  6. Jis Nay Madinay Jana Kar Lo Tayarian  Naat Lyrics
  7. Haqeeqat Me Woh Lutfe Zindagi Paya Nehi Karte (Naat Lyrics)
  8. An Nabi Sallo Alaih  Naat Lyrics
  9. Rabbana Ya Rabbana  Naat Lyrics
  10. Dil Ki Duniya Ko Sajao Aaqa  Naat Lyrics
  11. Meri Darkan Mey Ya Nabi Meri Sanson Mey Ya Nabi (Naat Lyrics)
  12. Wo Kaisa Sama Hoga Wo Kaisi Gharri Hogi (Naat Lyrics)
  13. Noorani Darbaar Madine Waale Ka
  14. Lab Per Naat-e-Pak Ka Naghma  Naat Lyrics
  15. Ae Bekason Ke Wali dede hamain sahara
  16. Sahab E Rehmat E Baari Hai Barahvi Tareekh
  17. Barhy jo karky vo
  18. Dil Se Hazaar Baar Madinah Tujhe Salaam Lyrics
  19. Tere Qadmo Me Aana Mera Kaam Tha
  20. Dekar Khuda Ko Jaan Ki Kimat  Naat Lyrics

Leave a comment