Fida Kr Ishq-e-Nabi Par Jaan  Naat Lyrics

Fida kr Ishq-e-Nabi par jaan
muqammal karle tu Iman zamana yaad karegaJab yaad Nabi ki aati hai  ik kaif sa aalam hota hai
jab zikre Nabi chhid jata hai ik wajd ka mosam hota hai
Yahi to kahta hai Qur’an k Aaqa hai jaan-e-Iman
zamana yaad karega  zamana yaad karega

Sarkar se tu hai door magar Sarkar to tujh se door nahi
kyu khoya khoya rehta hai Mukhtar hai tu majboor nahi
Nabi ko pahle dil se maan, Nabi par sab kuch kar Qurbaan
zamana yaad karega zamana yaad karega

Aslaf ki hai taarikh yahi  sahil pe jala di hai kashtee
daudaye hain ghode dariya par kya Ishq-e-Nabi ki masti thi
Tumhi ho wo Mard-e-Maidan zara dhundo apni pahchan
zamana yaad karega   zamana yaad karega

Sarkar ke Jalwo se raushan Iman-o-Amal ki duniya hai
Sarkar ke deewano ki sada taqleed Zamana krta hai
Nabi ka dekh zara faizaan Ki taza ho jaye Iman
zamana yaad karega zamana yaad karega

Darbare wilayat kya kehna  jab unka ishara milta hai
baarah barso ki doobi kashti ko ik pal me kinara milta hai
Asad ye Ghaus ka hai faizan  hai jis se Fikr-o-nazar hairan
zamana yaad karega zamana yaad karega

Jo baat thi Aa’la Hazrat ki wo aaj kisi Molwi me nahi
Wo Ishq-e-Nabi ke Paikar the, tharrate the unse Dushman bhi
diya humko Kanzul Iman ye hai hum par unka ehsaan
zamana yaad karega zamana yaad karega


Related Content

  1. Qasidah Burdah Sharif- Qasidah Burdah Sharif Lyrics
  2. Aamad E Mustafa Se Hai Phoola Phala Chaman Chaman Naat Lyrics
  3. Madine Ke Zaa-ir Salaam Unse Kehna  Naat Lyrics
  4. Dil Se Hazaar Baar Madinah Tujhe Salaam Lyrics
  5. Ya Nabi Nazre Karam Farmana Lyrics
  6. Madinah Deykhney Ki Aarazu Hai Meray Seenay Mein (Naat Lyrics)
  7. Muhmmad Ruhi Fidaka Naat Lyrics
  8. Sahab E Rehmat E Baari Hai Barahvi Tareekh
  9. Sahara Chahiye Sarkar Zindagi Ke Liye  Naat Lyrics
  10. Sar Sue Rouza Jhuka Phir Tujhko Kya  Naat Lyrics
  11. Noori Mahfil Lyrics
  12. BAN KE NOOR E KHUDA MUSTAFA AGAYE
  13. TERI JALIYON KE NEECHE
  14. Kab Talak Muntazir Hum Rahein Ya Nabi
  15. Aye Naseeb Mere Naseeb Tu
  16. Chamane Taiba Mein Sumbul Jo Sawaare Gesu
  17. Kitna Ala Rutba Hai Mere Ghouse Azam Ka  Naat Lyrics
  18. Ae Dil Bata Kaisa Laga Mera Raza Mera Raza
  19. Apni Ata Ka Haq Ne Ye Manzar Dekha Diya
  20. Eidon Ki Hai Eid Aayi

Leave a comment