Jahan Bani Ata Karde  Naat Lyrics

Mere Shamso-duha kardey

Gamon ki dhup mein woh

Sayae zulfe dutaa kardey

Jahan-bani ata karde

Bhari jannat hiba kardey

Nabi Mukhtar-e-kull hey

Jisko jo chahain ata karde

Jahan mein unki chalti hai

Wo dam mein kya se kya kardein

Zameen ko aasman karde

Surayya ko sara karde

Faza main udne wale yhun

Na itraaein nidaa kardey

Wo jab chahain jise chahain

Use farmaan-rawa kardey

Nabi se jo hai be-gaana

Use dil se juda kardey

Pidar Madar Biradar

Jaano maal un par fida kardey

Suraka ko bhi sone key to

Woh kangan ata kardey

Nabi Mukhtar-e-kull hey

Jisko jo chahain ata karde

Ata karde bula kar dey

Bitha kar de utha kar dey

Nabi Mukhtar-e-kull hey

Jaise jab chahe ata kardey

Jahan mein aam paygam e shahe

Ahmad Raza kardey

Palat kar pichhe dekhey

Fir se Tajdeed e wafa kardey

Khataein karne wala main

Ataein karne wale aap

Mere Aaqa mere haq main

Ise dastur saa kardey

Khayale hazrate Hassan sey

Ham naatein sajate hain

Kami reh jaaye to puree

Bareli ke Raza kardey

Muje kiya fikr ho Akhtar

Mere yaawar hain woh yaawar

Bala ho oh meri jo khud

Giriftare balaa karde

Tamannae dil e Ashraf

Bas itni hai sare Kausar

Jab Aaqa jame kausar dey

Labe Akdas laga kar dey


Related Content

  1. Banke Sail Madine Noo Lyrics
  2. Khairat Lene Aagaye Mangte Tumhare Khwaja  Naat Lyrics
  3. Ya Rabb Tere Mahboob Ka Jalwa Nazar Aaye (Naat Lyrics)
  4. Meri Ulfat Madine Se Lyrics
  5. Mujhe Tohfay Mein Mila Ramzan Lyrics
  6. Aye Hasnain Ke Nana
  7. Mujh Pe Maula Ka Karam Hai  Naat Lyrics
  8. TARON MEIN ROSHNI
  9. Meray Aqa Meray Lajpaal Madinay Waley (Naat Lyrics)
  10. Ashkon ka meri aankh mein toofan utha ho
  11. Mujhe Dar Pay Phir Bulana  Naat Lyrics
  12. Mil Gaya Dar Tera Garib Nawaz  Naat Lyrics
  13. Sahar Ka Waqt Hai Masum Kaliya Muskurati Hain  Naat Lyrics
  14. Allah Ni Yeh Shan Barhai, Tere Dar Ki
  15. Na Ho Aaraam Jis Bimaar Ko Saare Zamaane Se (Naat Lyrics)
  16. Dardo Aalam Ke Mare
  17. Delhi Rajasthan Tumhara Ya Khwaja  Naat Lyrics
  18. Lab Per Naat-e-Pak Ka Naghma  Naat Lyrics
  19. Ya Nabi Ya Rasool
  20. Mustafa Khairul Wara Ho  Naat Lyrics

Leave a comment