Kabe Ki Ronak Kabe Ka Manzar  Naat Lyrics

Kabe ki ronak Kabe ka manzar

Allahu Akbar Allahu Akbar

Dekhu to dekhe jau barabar

Allahu Akbar Allahu Akbar

Hainrat se khud ko kabhi dekhta hu

Aur dekhta hu kabhi mai haram ko

Laya kahan mujhko mera muqaddar

Allahu Akbar Allahu Akbar

Hamd e Khuda se tar hain zabane

Kano me rass ghoolti hain azane

Bus ek sada a rahi hain barabar

Allahu Akbar Allahu Akbar

Mangi hain maine jitni duae

Manzoor hongi maqbool hongi

Mizab e Rehmat hain mere sar par

Allahu Akbar Allahu Akbar

Tere karam ki kya bat Maula

Tere haram ki kya bat Maula

Ta umr karde ana muqaddar

Allahu Akbar Allahu Akbar

Yad agayi jab apni khataye

Ashko me dhalne lagi iltijae

Roya Gilaf e Kaba pakad kar

Allahu Akbar Allahu Akbar

Dekha Safa bhi Marwa bhi dekha

Rab ke karam ka jalwa bhi dekha

Dekha rawa ek saron ka samandar

Allahu Akbar Allahu Akbar

Kabe ke upar se jate nahi hain

Kisko sabak yeh sikhate nahi hain

Kitne moadab hain yeh kabutar

Allahu Akbar Allahu Akbar

Bheja hain jannat se tujhko Khuda ne

Chuma hain tujh ko khud mere Mustafa ne

Aye Hajr e Aswad tera muqaddar

Allahu Akbar Allahu Akbar

Jis par nabi ke kadam ko sajaya

Apni nishani keh ke bataya

Mehfooz rakha Rab ne yeh patthar

Allahu Akbar Allahu Akbar


Related Content

  1. Nabi Ka Jashn Aaya  Naat Lyrics
  2. Sadkhe Me Mustafa Ke Madine Ko Jayeinge  Naat Lyrics
  3. Aap ke Darbar se khali gaya koi nahi
  4. Ya Rabb Mujhe Deewana Madina Ka Bana De (Naat Lyrics)
  5. Kaabe Ke Dar Ke Saamne (Naat Lyrics)
  6. Haajiyon Aao Shahenshah ka Roza Dekho Naat Lyrics
  7. Mangate Hain Karam Unka Sada  Naat Lyrics
  8. Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada   Naat Lyrics
  9. Kya Jane Duniya Wale Rutba Mere Madani Ka  Naat Lyrics
  10. Madine Ke Waali Do Alam Ke Data Naat Lyrics
  11. Sar Bulandi Ki Rawayat Sir Katanay Say Chali  Naat Lyrics
  12. Mubarak Tujhay Ho Arz-e-Madina
  13. Allah Allah Shah-e-Konain Jala’lat Teri
  14. Rukh Se Parda Ab Apne Hata Do  Naat Lyrics
  15. Yeh Sab Tumahara Karam Hai Aqa
  16. Wo Kaisa Sama Hoga Wo Kaisi Gharri Hogi (Naat Lyrics)
  17. Muhmmad Ruhi Fidaka Naat Lyrics
  18. Man Kunto Maulaa  Naat Lyrics
  19. Munawwar Meri Aankhon ko Naat Lyrics
  20. Tere Ishq Di Dolat

Leave a comment